View Full Version : Mai-khaney ki shairi


Pages : [1] 2

Asif
03-08-2007, 11:19 AM
main nazar say pee raha hoon
ye sama badal na jayay..
na jhukaoo tum nighaheeen..
kahin raat dhall na jayay ..
meray ashkk b hain is main..
ye shaarab ubbale na jayay...
mera jaam choonay walay ..
tera hath jal na jayay;;;
abi raat kuch hai bakki ..
na utha nikaab sakki..
tera rind girtay girtay ..
kahin phir sanbhal na jayay...
mujay poonkanay say pehlay,,
mera dill nikaal laina..
ye kisi ki hai imannat..
meray sath jall na jayay....

Asif
03-08-2007, 11:20 AM
fasal Gul Kee Hai Sharab Peelijiye
Takalluf Kaisa Janab Peelijiye
Or Jo Chup Ker Piye Woh Munafiq Hai
Sharam Kaisee Sharab Peelijiye
Ooper Ja Ker Hisaab Hona Hai
Is Liye Bay Hisaab Peelijiye

Asif
03-08-2007, 11:20 AM
gham-e-dunya bhi gham-e-yaar main shamil kar lo
nasha barhata hai, sharabain jo sharabon main milain

Asif
03-08-2007, 11:20 AM
yunhi khana kharab rehney dey saki
jam main aftab rehney dey saki
gham sey ghabra gaya ho main saki
mujey gharkey sharab rehney dey saki

Asif
03-08-2007, 11:21 AM
laa Pila Day Sakiya Paimana Paimanay K Bad
Hosh Ki Batain Karain Gain Hosh Main Aanain K Bad

Dil Maira Lainay Ki Khtir Minatain Kya Kya Na Keen
Kaisay Nazrain Phair Leen Mattlab Nikal Janay K Bad

Waqat Sari Zindagi Main 2 Hi Guzray Han Kathin
Ik Taray Aanay Say Phlay Ik Taray Janay K Bad

Asif
03-08-2007, 11:21 AM
jab peeta tha to ***** diya tu ne mujhe apni kasam dey ker
mehfil may yarron ney pila di mujhey teri kasam dey ker....!

Asif
03-08-2007, 11:22 AM
chalo pii lein ke yaar aaye na aaye
ye mausam baar baar, aaye na aaye

gulaabon ki tarah tum taazaa rahanaa
zamaane mein bahaar aaye na aaye

ye sochaa hai ki usako bhool jaayen
ab is dil ko qaraar aaye na aaye

"zameer" is zindagi se kyun Khafaa ho
ise phir tum pe pyaar aaye na aaye

Asif
03-08-2007, 11:22 AM
saaki se mohabat hote hia
har rooz sekayat hote hai
peene ko mere peena na kahoo
yahi tu ebadat hote hai

Asif
03-08-2007, 11:22 AM
may pilaa kaR aapka kya jaaYeGa
jaaYega eimaaN jiska jaaYeGa

dekH kar mujhKo wo sharmaa jaaYeGa
Ye tamaasHa kis-se dekha jaaYeGa

jaaooN buth-khaane se kyoon kaabe ko maiN
haaTh se ye bhi Thikaana jaaYeGa

qat'L ki jab usne di dhamKi mujHe
keH diya maiN ne bhi deKha jaaYeGa

pee bhi le do ghooNt zaahiD pee bhi le
maikade se kaun pyaasa jaaYeGa

Asif
03-08-2007, 11:22 AM
Tum Nahaq NAraaz huye Warna Meh-khaaney ka Rsata
Ham ne Har Uss Shakhs se Poocha , Jis ke Nain Nasheeley they

Asif
03-08-2007, 11:23 AM
Yeh Kaisa gham hai seenay mein Maza aata hai peenay mein
Nashay mein jhoom le ae dil lehar uthanay de seenay mein

Raaton ki siyahi se meri raahen hui roshan
duboi manzlen meri sooraj ne safeenay mein

dunia mein kabhi ek pal paya na sakoon main ne
guzari zindgi saari ghamon ke zakhm seenay mein

Meri chahat ke gulshan mein laga di aag hans hans ke
kisi ne dil jalaya hai mera sawan ke maheenay mein

Asif
03-08-2007, 11:23 AM
aye Rahmat-e-tamam Meri Her Khata Maf
Main Intihay Shok Main Ghabra Kay Pi Gaya

Asif
03-08-2007, 11:24 AM
hum Ko Jo Adat Hoi Bus Pitay Rahy
Apni Masoum Tamnaoon Ka Rus Pitay Rahy

Asif
03-08-2007, 11:24 AM
zindagi jaam se behlanay chalay jaayen **
gham sataay ga to may khanay chalay jaayen **

Tere may khanay ki ronaq hai hamare dum se
tu ne moonh mora to deewanay chalay jaayen **

Hum samajhtay hain teri aakhon ki qeemat saqi
de ke kuch hosh ke azranay chalay jaayen **

Khair hum aaj chalay jaatay hain piyasay saqi
kal bohat door ye afsanay chalay jaayen **

Asif
03-08-2007, 11:24 AM
khote na hoon jo hosh unhen ghar bulaa ke pii
in meh- washon ko saamane, apane biThaa ke pii

behad naa pii, naa bol bahut, josh mein na aa
ruk ruk ke pii, sukuun se pii, sar jhukaa ke pii

Asif
03-08-2007, 11:24 AM
Kitni P kaisai kati raat mujhe yaad nahi
Raat k saath gai baat mujhe yaad nahi

Mujh ko yeh bhi nahi maloom k jana hai kahan
tham lai koi mera haath mujhe yaad nahi

Koi Paimana kahain toota k DIL hai mera
Badle badle hain khayalat mujhe yaad nahi

Ansoon aur sharaboon mein kati hain apni
main nai kab daikhi thi barsat mujhe yaad nahi

Asif
03-08-2007, 11:25 AM
Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
jo do pal mein utar jayegi
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi....

Asif
03-08-2007, 11:25 AM
merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye

merii tabaahii kaa ilzaam ab sharaab pe hai
mai.n aur karataa bhii kyaa tum pe aa rahii thii baat

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dhataa hai sharaabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n

rah ga_ii jaam me.n anga.Daa_iyaa.N leke sharaab
ham se maa.Ngii na ga_ii un se pilaa_ii na ga_ii

ruuh kis mast kii pyaasii ga_ii maiKhaane se
mai u.Dii jaatii hai saaqii tere paimaane se

garche ahal-e-sharaab hai.n ham log
ye na samajho Kharaab hai.n ham log

Asif
03-08-2007, 11:25 AM
shoor hay har taraf sahab sahab
saqia saqia sharab sharab
rindh bakshay gaey qiamat mein
sheik kahta raha hisaab hissaab
phir wohe mast bakabar nikla
jis ko kahtay thay sab karab karab
muj say wajhaey guna jab poche
sar juka k kaha mein nay shabab shabab
jam girnay laga to bahka sheik
thamna thamna kitaab kitaab
kab wo aata hay samnay kashfe
jis ke har ek ada hijaab hijaab

Asif
03-08-2007, 11:26 AM
Haathoon mein liye paemaana, jaam dhoonda karta hoon
Tumhare sang gujarne ko, ek shaam dhoonda karta hoon
Duniya wale humare rishtey ko, yun hi badnaam karte hain.
Duniya wale humare rishtey ko, yun hi badnaam karte hain.
Ke main eis rishtey ko, dene ek naam dhoonda karta hoon

Asif
03-08-2007, 11:26 AM
pattharon se sar takraane ke baad
hamne pee lee phir qasam khaane ke baad
jisko kahata hai zamaanaa maiykadaa
ek bastee see hai veeraane ke baad

Asif
03-08-2007, 11:27 AM
jub tuk teri yad ka diya julta raha

zeest mein gum ka undhera ****-ta raha

kurtey rehey jis ko sub paney ki tumanna

wo chand merey angun mein khud utterta raha

khil uthta hey jis ko deikhtey hi chehra

bahar aisi bun kur wo yahan ata raha

hur roz ik nay imthan mein dal kur

yon merey payar ko wo azmata raha

khawahan nehi hey wo muj sey wasal ka

ansoo jis k firaaq mein hur pul bahata raha

tukhra diya us ney mera jam-e-mohabbat ghazal

nasha jis ko paney ka hur roz burta raha

Asif
03-08-2007, 11:27 AM
toD kar main ne nA pine ki qasam, pi hai sharaab


jab kabhi ghuTane lagaa sine mein dam, pi hai sharaab
zabt ki had se baDhe jab ranj-o-gham, pi hai sharaab

ek to chaDhati javaani kaa nashaa hi kam nA thaa
dusare us par ye Dhaayaa hai sitam, pi hai sharaab

mujh pe ilzaam-e-balaanoshi saraasar hai ghalat
jis qadar aaNsoo piye hain us se kam, pi hai sharaab

jab kabhi saaqi se ae 'kaashif' nigaahen mil gain
toD kar main ne nA pine ki qasam, pi hai sharaab

Asif
03-08-2007, 11:27 AM
Jaam pe jaam peene se kya faida,
Shaam ko piyoge toh subah utar jayegi,
Arey do boond pyar ke pi lo,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi..

Asif
03-08-2007, 11:28 AM
sharab kasee..khumar kaisa ,,
yah sab tumhare nazwazishay haii...
pilae haii kis nazar say to nay
k mujhe ko apne khyber nahin ..
tere chaaa nay teray piyar nay
tere bahke bahkke nigha nay
mujhay eik sharabi bana diya
mujhay sharab peena sikha diyaa

Asif
03-08-2007, 11:28 AM
mai.n nazar se pii rahaa huu.N, ye samaa badal na jaae
na jhukaao tum nigaahe.n, kahii.n raat Dhal na jaae

mere ashk bhii hai.n is me.n, ye sharaab ubal na jaae
meraa jaam chhuunevaale, teraa haath jal na jaae

abhii raat kuchh hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
teraa ri.nd girte girte, kahii.n phir sambhal na jaaaye

merii zi.ndagii ke maalik, mere dil pe haath rakh_naa
tere aane kii Khushii mei.n, meraa dam nikal na jaae

mujhe phuu.Nk_ne se pahle, meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat, kahii.n saath jal na jaae

Asif
03-08-2007, 11:28 AM
may pilaa kaR aapka kya jaaYeGa
jaaYega eimaaN jiska jaaYeGa

dekH kar mujhKo wo sharmaa jaaYeGa
Ye tamaasHa kis-se dekha jaaYeGa

jaaooN buth-khaane se kyoon kaabe ko maiN
haaTh se ye bhi Thikaana jaaYeGa

qat'L ki jab usne di dhamKi mujHe
keH diya maiN ne bhi deKha jaaYeGa

pee bhi le do ghooNt zaahiD pee bhi le
maikade se kaun pyaasa jaaYeGa

Asif
03-08-2007, 11:29 AM
husn waaloN ka ehtaraam karo
kuch tho duniya meiN nek kaam karo

seikh aayeN hiaN Baawzoo hokar
ab tho peene ka intezaam karo

abhi barsenge har taraf jalwe
tum nighaahoN ka ehtamaam karo

log darne lage gunaahon se
barish-e-rehmat-e-tamaam karo

Asif
03-08-2007, 11:29 AM
Khali Hai Abhi Jaam, Mein Kuch Soch Raha Hoon
Ay Gardish-E-Ayaam Mein Kuch Soch Raha Hoon
Saki Tujhe Kuch Thori Si Takleef To Hogi
Sagar Ko Zara Tham Mein Kuch Soch Raha Hoon
Kay Kal Raat Maikade Mein Ajab Hadsa Huwa
Zahid Sharaab Pee Gaya Mere Hisaab May

Asif
03-08-2007, 11:29 AM
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge
Gum sataega to maikhane chale jayenge

Tere maikhane ki raunak hai hamare dum se
Tune mooh mora to Deewane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge...

Hum samajte hai teri ankho ki keemat Saaki
Deke kuch hosh ke nazraane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge

Meri khamoshi ne rakha hai aaj tera bharam
Kal bahutdoor ye afsaane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge...

Asif
03-08-2007, 11:30 AM
kitni pee kaise kati raat muJhe hosH nahiN
raat ke saath gayi baat muJhe hosH nahiN

muJhko ye bhi nahin malooom ki jana hai kahan
thaam le koi mera haath muJhe hosh nahin

aaNsooN aur sharaaBon mein guzar hai ab to
maine kab dekhi thi barsaat muJhe hosN nahiN

jaane kyaa tooTa hai, paimaana ki dil hai mera
bikhre bikhre haiN khayalaat muJhe hosH nahiN

Asif
03-08-2007, 11:31 AM
subho milta hai kahan sham kahan milta hai....
dil e be chain ko araaaaaam kahan milta hai...
teri mehfil se pitay hai naseeboon valay..
bad naseeboon ko tera (JAAM) kahan milta hai...
ham fakeeroon ko bi de apne is hussan ki kharyet ...
jis ko deta hai KHUDA wo rahay KHUDA deta hai

Asif
03-08-2007, 11:32 AM
Saqiya main akhaya si hath tera ruke naa
Mukk gayee sharab teri dukh mere mukke naa

Tute hoye dilla nu sharab peeni pendi aye
Ave jado dukhaa da azaab peeni pendi aye
Raj raj peen naa vi dukh mere mukke naa
Saqiya main akhaya se hath tera ruke naa

Raj ke sharab subho shaam menu peen de
Oos bewafa da le ke naam menu peen de
Jediya judiyan wich hanjoo mere suke naa
Saqiya main akhaya si hath tera ruke naa

Pee ke sharab menu chain bara mildaa
Saqiya sharab aye sakoon mere dil daa
Mere agoo hun koi botalan nu chuke naa
Saqiya main akhaya si hath tera ruke naa

Mukk gayee sharab teri, dukh mere mukke ne.

Asif
03-08-2007, 11:32 AM
ek sharabi ye keh raha tha aaj
meyre ibtda jaam meyre inteha jaam

howa hay be lagam jism jab se
dukh darad aur gam bhara piya jaam

main haran nahin tha os waqat bhi
saqi nay muj ko jab dia jaam

nashay main tha is qader madhosh main
tayray naam ko bhi likh dia jaam

pholon pe shabnam ka to sona hi tha
kanton se arahi hay sadaa jaam

ab k wo rothay to ye kehna jami
tuj se to aye sanam! hay acha jaam

Asif
03-08-2007, 11:33 AM
Zindagi Saqi Bahoot Mehfooz Hay meh khanay main hay
Kuch teri Aankhoon main hay,kuch mere paimanay main hay

Pee bhi lay Aay peer sad sala zara c pee bhi lay
May nahin zahid , jawani mere paimanay main hay

Kon c Jannat ka waaz kar raha hay zikar toou?
Aesi ik Jannat tou ham rindoon ky mai khanay main hay

Uss say poochoo Jiss ki umeedoon par pani phir gia
Kia maza mounh daikh kar khamoosh rah janay main hay

Mai kashoon ki dozakh_o_Jannat hain Ay Waaiz yaheen
Aike maikhanay ky bahir,aike main khanay main hay

Aarzo shayed koi dam toorti hay ay KHUMAR
Dhundli dhundli kuch chamak dill ky siah khanay main hay

Asif
03-08-2007, 11:33 AM
Raat chup chaap hai magar chaand khamosh nahi,
Kaise kahe ki khuda aaj faramosh nahi.
Aise duba teri aankhon ki geherai mein,
Haath me jaam hai magar peene ka hosh nahi

Asif
03-08-2007, 11:34 AM
sakhi bus itna sa kam kar,
ye sare ilzaam mere naam kar !
ek do paimane se mera kya hoga,
sara maikhana mere naam kar !!

Asif
03-08-2007, 11:34 AM
duniyaa se alag hamne maiy-khaane ka dar dekhaa
maiy-khaane ka dar dekhaa, allah ka ghar dekhaa

dono'n ke maze loote, dono'n ka asar dekhaa
allah ka ghar dekhaa, maiy-khaane ka dar dekhaa

kaabe mein nazar aaye jo subah azaa'n dete
maiy-khaane mein raato'n ko unkaa bhee guzar dekhaa

kuchh kaam nahee'n maiy se go ishq hai is shaiy se
hai rind 'riyaz' aise daaman bhee na tar dekhaa

Asif
03-08-2007, 11:34 AM
jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main
shauq-e-sawab ne mujhe dala azab main


kahte hain tum ko hosh nahin iztarab main
sare gile tamam hue ek jawab main


phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKh se
dil ko gazab fishar hua pech-o-tab main


rahte hain jama kucha-e-janan main khas-o-am
abad ek ghar hai jahan-e-kharab main


badnam mere giriya-e-ruswa se ho chuk
ab uzr kya raha nigah-e-behijab main


matlab ki justaju ne ye kya hal kar diya
hasrat bhi nahin dil-e-nakamayab main


nakamiyon se kam raha umr bhar hamain
piri main yas hai jo hawas thi shabab main


kya jalwe yaad aye k apni khabar nahin
be-bada mast hun main shab-e-mahtab main


paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-wida
"Momin" Khuda ko bhul gaye iztarab main

Asif
03-08-2007, 11:35 AM
Aadtan MaiN pee leta hooN, Iradtan maiN pee leta hooN,
Ruthhe gar khushiaaN mujhse, ziadtan maiN pee leta hooN.

Jab tak na mile koi saaki, Bin saaki hi pee leta hooN,
Paimane sab jab hoN khali,AshqoN se bhar pee leta hooN.

Maikhane se aati sada, sun ke sada pee leta hooN,
Sabki akhiyoN ko chhal ker, chupke se maiN pee leta hooN.

Jab raat ho kat-ti aankhoN maiN,toh gham me maiN pee leta hooN,
Chhaye ghata ZulfoN ki kabhie, toh be-mousam maiN pee leta hooN.

Nafrat jo kare koi mujhse, nafrat ko hi pee leta hooN,
Maikhane maiN jab aa hi gaye,toh zeher mile Pee leta hooN

noor
03-08-2007, 11:35 AM
frown OHH APS JII YE KISS DRINK AND JAAM KI BAAT HO RAHI HAI....frown .AGER YE NICE THING HAI TO MOJHY BHI PINAA HAII...AKELAY NAHI PINAA....:creature2[1]:
Thnxx for great sharingg......nasha sa aagiaa...dostoon bura na mannaa plzz...:love3[1]:

Asif
03-08-2007, 11:35 AM
Mujhko Maikhaana pila de saaqi
Mujhko dardon ka sila de saaqi
Apni zulfon ki chaav de ke mujhe
Apni bhaahon me sula de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Dard bardasht se bhi bahar hai
Aaj kaise bhi rulaa de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi


La gira or sharaab dil pe mere
Aag seene ki bujha de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Gir ke utth jaaun jo tere dar se
Tu mujhe phir se gira de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Qatra qatra hai mere gum ko sukun
Mujhko tu or dawaa de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Raat ke chalte ab sahar na ho
Jaadu kuch aisa chala de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Fikr meri hai to phir mere liye
Mujhko marrne ki duaa de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Karan kehta hai dosti ke liye
Jaam me zahar mila de saaqi
Mujhko maikhana pila de saaqi

Asif
03-08-2007, 11:36 AM
frown OHH APS JII YE KISS DRINK AND JAAM KI BAAT HO RAHI HAI....frown .AGER YE NICE THING HAI TO MOJHY BHI PINAA HAII...AKELAY NAHI PINAA....:creature2[1]:
Thnxx for great sharingg......nasha sa aagiaa...dostoon bura na mannaa plzz...:love3[1]:

arey ye apne mehboob ki batoun k nashey mein hain :wub[1]:

Asif
03-08-2007, 11:37 AM
ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain

dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain

aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain

ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain

Asif
03-08-2007, 11:37 AM
hasti apni hubab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai

nazuki us k lab ki kya kahiye
pankhari ik gulab ki si hai

bar bar us k dar pe jata hun
halat ab iztirab ki si hai

main jo bola kaha k ye awaz
usi khana-kharab ki si hai

'Mir' un nim-baz ankhon main
sari masti sharab ki si hai

Asif
03-08-2007, 11:37 AM
Phir hath main sharab haii such bolta hon main ...
yah cheez lajawab haii such bolta hon main ..
geen kar peon main jaam to hota nahin nasha ..
mera alag hesab haii ..such bolta hon main ..
phir hath main sharb haii .such bolta hon main..
saki yakeen na ae to gerdan jhuka k dekh...
sheeshay main mahtab haii ...such bolta hon main ...
phir hath main sharb haii ..such bolta hon main ..
hathoo main aik jaam haii..hontoo pay eik ghazall.
bake khiyl o khowab haii ...such bolta hon main ...
phir hath main sharb haii such bolta hon main ...
yah cheez lajawab haii such bolta hon main

Asif
03-08-2007, 11:38 AM
chalo pii lein ke yaar aaye na aaye
ye mausam baar baar, aaye na aaye

gulaabon ki tarah tum taazaa rahanaa
zamaane mein bahaar aaye na aaye

ye sochaa hai ki usako bhool jaayen
ab is dil ko qaraar aaye na aaye

"zameer" is zindagi se kyun Khafaa ho
ise phir tum pe pyaar aaye na aaye

Asif
03-08-2007, 11:39 AM
Peeta bagahir-e-izn yeh kab thi meri majaal..
Dar pardaa chashm-e-yaar ki sheh paa kay pi gayaa...

"daikhaa jo uski chashm-e-balaa khaiz ne mujahy"
taubaa ko taar taar kay, ghabraa kay pi gayaa

Asif
03-08-2007, 11:39 AM
Mai parasti teri suhbat say ziaada to nahin...
Itnaa madhosh bhi honay ka irradaa to nahin...

Khul gaaye ham to raqeeboon ko shikaayat hogi...
Aur teraa daman-e-dil itna ***haadaa to nahin...

Jaam chora to nashaa kam nahin hogaa ay dosta
teri ankhoon ka asar, kamtar-e-baadaa to nahin...

Asif
03-08-2007, 11:39 AM
Nazar nazar se mila kar sharab peete hain
hum unko paas bitha kar sharab peete hain

Issi liye to andhera hai maikade mein bohat
yahan gharon ko jala kar sharab peete hain

humein tumhare siwa kuch nazar nahin aata
tumhen nazar mein saja kar sharaab peetay hain

Unhi ke hissay mein aati hai piyas bhi aksar
jo doosron ko pila ker sharab peetay hain

Asif
03-08-2007, 11:40 AM
is tarah har Gham bhulaya kijiye
roz maiKhane mein aya kijiye

chhoD bhi dijiye takalluf sheiKh ji
jab bhi aayen pi ke jaya kijiye

zindagi bhar phir na utere ga nasha
in sharabon mein nahaya kijiye

ai hasino ye guzarish hai meri
apane hathon se pilaya kijiye

Asif
03-08-2007, 11:40 AM
phool hi phool khil uThe mere paimaane mein
aap kyaa aaye bahaar aa gai may-Khaane mein

aap kuchh yooN mere aainaa-e-dil mein aaye
jis tarah chaaNd utar aayaa ho paimaane mein

aap ke naam se taabindaa hai unwaan-e-hayaat
varanaa kuchh baat nahin thi mere afasaane mein

Asif
03-08-2007, 11:41 AM
dastoor ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho
ik haath mein maalaa ho ik haath mein pyaalaa ho

poojenge saleeqe se andaaz magar apanaa
ho yaad-e-Khudaa dil mein saaqi ne sambhaalaa ho

masti bhi taqaddus bhi ek saath chalen donon
ik simT ho maiKhaanaa ik simT shivaalaa ho

masjid ki taraf se tu jaanaa na kabhi saaqi
zaahid bhi kahin teraa na chaahane vaalaa ho

voh Doob kar mar jaayen madiraa ki suraahi mein
maashuq ne gar dil ki mahafil se nikaalaa ho

Asif
03-08-2007, 11:41 AM
maiy-khaane mein lutf-e-zeest paane vaale
meenaa-o-suboo se dil lagaane vaale
pee lee hai to maiy-kade ko khaalee karde
baaqee hain abhee bahut-se aane vaale

Asif
03-08-2007, 11:42 AM
pee lee hamne sharaab pee lee
thee aag, misaal-e-aab pee lee

achchhee pee lee kharaab pee lee
jaisee paa'ee sharaab, pee lee

aadat see hai, nashaa hai na ab kaif
paanee na piyaa sharaab pee lee

chhorh kaee din guzar gaye the
aaee shab-e-mahtaab, pee lee

munh choom le koee iss adaa se
sarkaa ke zaraa naqaab pee lee

manjoor thee shustgee zubaa'n kee
thorhee-see sharaab-e-naab pee lee

Asif
03-08-2007, 11:42 AM
apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon
apne Gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon
aur ik jaam-e-may-e-talkh chadhaa loon to chaloon
abhi chalta hoon zara Khud ko sambhaloon to chaloon

jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-Gham ka khumaar
dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar
aandhiyan chalti hain dunya hui jati hai Ghubaar
aankh to mal loon zara hosh mein aa loon to chaloon

Asif
03-08-2007, 11:43 AM
"nigaah-e-saaqii-e-naamaharabaa.N ye kyaa jaane
ki TuuT jaate hai.n Khud dil ke saath paimaane


milii jab unase nazar bas rahaa thaa ek jahaa.N
haTii nigaah to chaaro.n taraf the viiraane


hayaat laGzishe-paiham kaa naam hai saaqii
labo.n se jaam lagaa bhii sakuu.N Khudaa jaane


vo tak rahe the hamii.n ha.Ns ke pii gae aa.Nsuu
vo sun rahe the hamii.n kah sake na afasaane


ye aag aur nahii.n dil kii aag hai naadaa.N
chiraaG ho ke na ho jal bujhe.nge paravaane


fareb-e-saaqii-e-mahafil na puuchhiye "Majrooh"
sharaab ek hai badale hue hai.n paimaane

Asif
03-08-2007, 11:44 AM
Yeh maikada hai yahan ka nizaam ulta hai
jo larkhara na sake pee ke Hoo gaya badnaam
sharaab itni shareefana cheez hai Adam
keh pee ke admi sach bolta hai subhoo shaam

Asif
03-08-2007, 11:44 AM
Maikada thaa, chandni thii, main naa thaa
Ek mujasim be-khudi thii, main naa thaa

Ishq jab dam todta thaa, tum na thye
Maouth jab sar dhoon rahi thii, main naa thaa

Maikade ke moud par rukhti hui
Mudat’aon ki tashnagi thii, main naa thaa

Main aur us guncha dahen ki arzoo
Arzoo ki sadgi thii, main naa thaa...

Asif
03-08-2007, 11:44 AM
Aqaayad vaham hai mazahab khayaal-e-khaam hai saaqii
azal se zahan-e-i.nsaa.n bast-e-auhaam hai saaqii

haqiiqat-aashanaa_ii asl me.n gum-kardah-raahii hai
uruus-e-aagahii paravardah-e-abahaam hai saaqii

mubaarak ho za_iifii ko khirad kii falsafaadaanii
javaanii beniyaaz-e-ibrat-e-a.njaam hai saaqii

abhii tak raaste ke pech-o-kham se dil dha.dakataa hai
meraa zauq-e-talab shaayad abhii tak khaam hai saaqii

vahaa.n bhejaa gayaa huu.n chaak karane pard-e-shab ko
jahaa.n har subah ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqii

Asif
03-08-2007, 11:48 AM
Ya zohra jabeenon ki munajaat karien **
Ya bandagi-e peer-e kharabaat karien **

Ye aqal ke sehmay hue beemar iraday
Kiya chara-e nasazi-e Halaat karien **

Aa ae gham-e dauraan mekhana hai nazdeek
Aaraam se baithien ** zara baat karien **

Jannat mein na may hai na muhabbat na jawani
Kis cheez pe insaan basar auqaat karien **

Keh do ye adam se keh kharabaat mein kal raat
Kuch log faqeeron ki madaraat karien **

Asif
03-08-2007, 11:48 AM
Ye intzaar galat hai ke shaam ho jaye.
Jo ho sake to abhi daur-e-jaam ho jaye.

Mujh aise rindh ko bhi tune, hashar mein, ya rub,
bula liya hai to kuch intzam ho jaye

Asif
03-08-2007, 11:48 AM
Behki hui bahaar ne peena sikha diya
badmast bargo baar ne peena sikha diya

peeta hun is garaz se ke jeena hai chaar din
marnay ke intezaar ne peena sikha diya

Asif
03-08-2007, 11:48 AM
Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K Pee Gaya
Lehroon Say Khailta Hua Lehra K Pee Gaya

Ey Rehmat-E-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-E-Shouq Mein Ghabra K Pee Gaya

Peeta Baghair Izn Yeh Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-E-Yaar Ki Sheh Pa K Pee Gaya

Samjhanay Walay sub Mujhe Samjha K Reh gaye
Lakin May Aik Aik Ko Samjha Ke Pee Gaya

Asif
03-08-2007, 11:49 AM
jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya

utha jo naqaab unka deewane ko hosh aaya
jab shamma howi roshan parwane ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

phir dard utha dil mein phir yaad teri aayi
phir teri mohabbat ke afsanay ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

in mast nigahon ne girtay ko sambhala hai
sagar ke saharay se mastanay ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

wo daikho fana daikho jaam aa ga'ay gardish mein
wo mast nazar uthi maikhane ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya

Asif
03-08-2007, 11:49 AM
Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon

Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Mujho maikash samajhte hain sub badakash
Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main

Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Jo samajh mein na aaye to main kya karoon

Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Koi aaya hai zulfen bikhere hue

Maut aur zindagi dono hairaan hain
Dum nikelne na paaye to main kya karoon

Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah

Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Tumko peena na aaye to main kya karoon

Asif
03-08-2007, 11:50 AM
Jahan faqeeron ko ghair leti hai naghaan gardish-e zamana
Wahan se rasta zaroor jata hai koi sooye sharab khana

ye kiya hua sakinaan-e gulshan ko koi ja ke khabar to laaye
Na koi urta hua tabassum na koi behta hua tarana

Milay hain dil par nishaan dhundlay se barha teri ungliyon ke
Mera taa'rruf hua hai shayad teri murawwat se ghayebana

Khazan ke dildoz haadsay par Khaloos se ghaur kar raha hai
Kahin kahin sehn-e gulistan mein luta luta koi aashiyana

Idhar se aa hi gaye ho sahib to hum faqeeron se bukhal kaisa
Yahan bhi imshab qayam kar lo duaayen de ga ghareeb khana

Ye shaam ke saaye dass na jayien Adam kahin se sharab lao
Kuch aisa mehsoos ho raha hai bujha hua hai charagh khana

Asif
03-08-2007, 11:50 AM
Fasl-E-Gul Hai Sharaab Pee Leejiye
Zid Na Keejiye Janaab Pee Leejiye

Aagay Chal Kar Hisaab Hoona Hai
Is Liye Be Hisaab Pee Leejiye

Do to Qatray Hein Jaam K Ander
Kar K Zer-E-Niqaab Pee Leejiye

Jo Piyay Ch'hup K Wo Munafiq Hai
Sharam kaisi janab Pee Leejiye

Dil Ka Sheesha Hai Aur Khuloos Ki May
Ab To Aali Janaab Pee Leejiye

Jaavidani Suroor Aa'ay Ga
Aasmani Gulaab Pee Leejiye

Aap Aur Itni Zid Adam Sahib
Harj Kya Hai Sharaab Pee Leejiye

Zid Na Keejiye Janaab Pee Leejiye
Fasl-E-Gul Hai Sharaab Pee Leejiye

Asif
03-08-2007, 11:50 AM
Shouq Peenay Ka Mujko Ziyada Na Tha
Tark-E-Tauba Ka Koi Irada Na Tha
Mujh Pay Tohmat Na Rakh May Sharabhi Nahi
Woh Nazar Say Pila'ay Toh Mein Kya Karoon

Asif
03-08-2007, 11:50 AM
Muskurao Bahaar K Din Hein
Gul Khilao Bahaar K Din Hein
May Nahi Tou Ashq-E-Gham He Sahi
Pee Bhi Jao Bahaar K Din Hein

Asif
03-08-2007, 11:50 AM
Jaa K Dil-E-Sad Paara Ko See Lo See Lo
Kuch Dair To Bekhudi Mein Jee Lo Jee Lo
Kiyoon Hazrat-E-Zahid Hai Tahammul Itna
Maikhanay Ki Khairat Hai Pee Lo Pee Lo

Asif
03-08-2007, 11:51 AM
Janat Jo Milay La Kar Maikhanay Mein Rakh Dena
Kausar Ko Mere ****ay Say Paimanay Mein Rakh Dena
Maiyat Na Meri Jaa Kar Veeranay Mein Rakh Dena
Pemano Mey Dafna Kar Mekhanay Mein Rakh Dena

Asif
03-08-2007, 11:52 AM
Khali Hai Aabi Jaam, Mein Kuch Soch Raha Hoon
Ay Gardish-E-Ayaam Mein Kuch Soch Raha Hoon
Saki Tujhe Kuch Thori Si Takleef To Hogi
Sagar Ko Zara Tham Mein Kuch Soch Raha Hoon

Asif
03-08-2007, 11:52 AM
Shikasta Haal Hain Dunya Kay Bhi Sata'ay Hain
Tere Sawaal Ka Yarab Jawab Daitay Hain
Ye roz-E-Hashr Hai Itni Bhi Jald Bazi Kya
Zara Sharab To Pee Lain Hisaab Daitay Hain

Asif
03-08-2007, 11:53 AM
Aaj angoor ki beti se mohabbat ker le
shaikh sabih ki nasihat se baghawat ker le
is ki beti ne utha rakhi hai sir per dunya
yeh to acha hoa angoor ko beta na hoa

kum se kum surat e saqi ka nazara ker le
aa ke maikhaane mein jeene ka sahara ker le
aankh milte he jawani ka maza aaye ga
kuch to angoor ke pani ka maza aaye ga

her nazar apni basad shouq gulabi ker de
itni pee le ke zamane ko sharabi ker de
jaam jab samne aaye to mukarna kaisa
baat jab peene ki aa jaye to darna kaisa

iske peete he tabiyat mein rawani aaye
isko boorha bhi jo pee le to jawani aaye
peene wale tujhe aa jaye ga peene ka maza
iske her ghoont mein poshida he jeene ka maza

baat to jab hai k tu may ka parastar bane
tu nazar dal de jis per wohi maikhuwar bane
mousam e gul mein to peene ka maza aata hai
peene walo ko hi jeene ka maza aata hai

jo bhi aata hai yahan pee ke machal jata hai
jab nazar saqi ki parti hai sambhal jata hai
aayi idher jhoom ke saqi ka leke naam utha
dekh wo abr utha tu bhi zara jaam uthaa

is qadar pe le ke rug rug mein suroor aa jaye
qasrat e mai se jo chehre pe bhi noor aa jaye
iske her qatre mein nazan hai nihan darya-dili
iske peene se ata hoti hai ik zinda dili

Asif
03-08-2007, 11:54 AM
Baadal Ki Tarha Jhoom Ke Lehra Ke Piyein **
Saqi Tere Maikhane Pe Hum Ja K Piyein **
Daikhen Ge k Aata Hai Kidhar Se Gham-E-Duniya
Saqi Tujhe Hum Saamne Bithla K Piyein **

Asif
03-08-2007, 11:54 AM
Aapki Zulf-E-Pareshan Dekh Kar
Mein Chalakta Jaam Kaisay Chor Doon

Ya To Iss Kaali Ghata Ko Rok Lo
Ya Ijazat Do Ke Tauba Tor Doon

Asif
03-08-2007, 11:56 AM
Phiroon Dhoodtha Maikada Tauba Tauba
Mujhay Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai

Salamat Rahe Teri Aankhon Ki Masti
Mujhe Mekashi Ki Zarorat Nahi Hai

Yeh Tark E Talluq Ka Kya Tazkara Hai
Tumhare Siva Koi Apna Nahi Hai

Agar Tum Kaho To Mein Khud Ko Bhula Doon
Tumhein Bhool Janay Ki Taaqat Nahi Hai

Her Ik Mour Per Ik Nayi Baat Chaaye?
Rahi Dil Ki Dil Mein Zabaan Tak Na Aayi

Kiyeh Hein Kuch Aisay Karam Doston Ne
K Ub Dushmano Ki Zarorat Nahi Hai

Hamesha Mere Samnay Say Guzarna
Nigahein Chura Ker Mujhay Daikh Laina

Meri Jaan Tum Mujh Ko Itna Bata Do
Yeh Kya Cheez Hai Gar Mohabbat Nahi Hai

Hazaaron Tammanaein Hoti Hein Dil Mein
Hamari To Bus Ik Tammana Yehi Hai

Mujhay Ik Dafa Apna Keh K Pukaro
Bus Is K Siva Koi Hasrat Nahi Hai

Phiroon Dhondta Maikada Tauba Tauba
Mujhay Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai

Asif
03-08-2007, 11:56 AM
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Ghum Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya

Chalkay Hoay Thay Jaam, Pareeshan Thi Zulf-E-Yaar
Kuch Aisay Haadsaat Say Ghabra K Pee Gaya

Mein Aadmi Hoon Koi Farishta Nahi Huzoor
Mein Aaj Apni Zaat Say Ghabra K Pee Gaya

Itni Daqeeq Shai Koi Kaisay Samajh Sakay
Yazdaan K Waqiyaat Say Ghabra K Pee Gaya

Kaantay To Khair Kaantay Hein In Say Gila He Kia
Pholon Ki Waardat Say Ghabra K Pee Gaya

Sagar Woh Keh Rahay Hein K Pee Lejiyeh Huzoor
Un Ki Guzarshaad Say Ghabra K Pee Gaya

Asif
03-08-2007, 11:56 AM
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi
Aag Aisee Lagaayi Maza Aagaya

Jaam Mein Ghoul Kar Husn Kee Mastiyaan
Chaandni Muskurai Maza Aagaya
Chaand Ke Sa'ay Mein Ay Mere Saaqiya
Tu Ne Aisee Pilaayi Maza Aagaya

Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
Maikade Pe Barasne Lagi Mastiyaan
Jab Ghata Gir Ke Chaayi Maza Aagaya

Be Hijabaana Wo Saamne Aagaye
Aur Jawaani Jawaani Se Takra Gayi
Aankh Unki Laree Yoon Meri Aankh Se
Daikh Kar Ye Laraai Maza Aagaya

Aankh Mein Thee Hayaa Her Mulaqaat Par
Surkh Aariz Hu'ay Wasl Ki Baat Par
Us Ne Sharma Ke Mere Sawaalat Pe
Aise Gardan Jhukaayi Maza Aagaya

Shaikh Sahib Ka Imaan Bik He Gaya
Daikh Kar Husn E Saqi Pigal He Gaya
Aaj Se Pehle Ye Kitne Maghroor The
Lut Gayi Parsaayi Maza Aagaya

Ay Fana Shukr Hai Aaj Baad E Fana
Us Ne Rakh Le Mere Pyaar Kee Aabro
Apne Haathon Se Usne Meri Qabr Par
Chaadar E Gul Charhaayi Maza Aagaya

Asif
03-08-2007, 11:57 AM
Aag Daaman Mein Lag Ja'ay Gi
Dil Mein Shola Machal Ja'ay Ga
Mera Saagar Na Choona Kabhi
Saathiya Haath Jal Ja'ay Ga

Aik Din Woh Zaroor Aa'in **
Dard Ka Saya Tal Ja'ay Ga
Is Zamanay Ki Parwa Nahi
Yeh Zamana Badal Ja'ay Ga

Aa Gaya Mera Aankhon Mein Dam
Ub to Jalwa Dikha Di Jiyeah
Aap Ki Baat Reh Ja'ay Gi
Mera Armaan Nikal Ja'ay Ga

Besabab Hum Say Rootho Na Tum
Yeah Larai Buri Cheez Hai
Sulah Ker Lo Khuda K Liyeah
Yeh Bura Waqt Tal Ja'ay Ga

Mai Kashoon Us Nazar Ki Suno
Keh Rahi Hai Wo Shola Badan
Mein Nahi Jaam Mein Aag Hai
Jo Piye ga Woh Jal Ja'ay Ga

Koi Aansoo Nahi Aankh Mein
Baat Ghar Ki Abhi Ghar Mein Hai
Tum Jo Yoon He Satatay Rahay
Dard Aashiqoon Mein Dhal Ja'ay Ga

Door Hein Jab Talak Tum Say Hum
Kaisay Hoga Mudawa E Gham
Ek Dafa Tum Milo To Sanam
Gham Khushi Mein Badal Ja'ay Ga

Gar Yoon Hi Ghar Mein Baithay Rahay
Maar Daalien Gi Tanhaiyaan
Chal Zara Mai-Kaday Mein Chalein
Ay Fanaa Dil Behal Ja'ay Ga

Asif
03-08-2007, 11:57 AM
peenay walo suno na chupa kar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo
tum kaho ge K yeh kaise mumkin hai yaar
saamne tum sanam ko bitha kar piyo
aur nazar se nazar phir mila kar piyo

peenay walo suno na chupa kar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo

jab chalakte hain jaam leke dilbar ka naam
to rangeen ho jati hai aur shaam
jab jawani pe ho mehkashi ka yeh daur
toh maza aashiqui ka bhi aata hain yaar
aur is daur mein sab bhulakar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo


jab piyo ge kabhi jaise kehte hain ham
Phir to mit jayenge saare dard aur gham
jab behak jaayenge hadh se zyada kadam
toh sambhalega tumko tumhara sanam
dar hai kis baat ka sir utha kar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo

peenay walo suno na chupa kar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo

Asif
03-08-2007, 11:58 AM
main peeta nahi hun pila di gayi hai
nahi shauk peene ka rakhta hun yaaro
har ek shaam thodi si chakta hun yaaro
mere gam mein masti mila di gayi hai
mujhe dard-e-dil ki dawa di gayi hai

mujhe jab kisi se mohabbat nahi thi
toh peene pilane ki aadat nahi thi
agar main na peeta toh phir kaise jeeta
mohabbat mein mujhse jafa ki gayi hai
mujhe dard-e-dil ki dawa di gayi hai
main peeta nahi hun pila di gayi hai

jo peete nahi hain akele khade hain
yahan toh deeewanon ke mele lage hain
jo dooba nashe mein wohi hai maze mein
yeh har shaam saanso ko mehka rahi hai
mujhe dard-e-dil ki dawa di gayi hai
main peeta nahi hun pila di gayi hai

Asif
03-08-2007, 11:58 AM
Mere haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha
Mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main

Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh
Sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal
Baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main

Asif
03-08-2007, 11:58 AM
tujhe qasam hai saaqiya, sharaab la sharaab de
uTHa suboo nazar mila, sharaab la sharaab de

har ek aisa jaam ho, ke jis pe tera naam ho
tu apne naam kee pila, sharaab la sharaab de

na dil meiN koee GHam rahe, na meree aaNkh nam rahe
har ek dard ko miTa, sharaab la sharaab de

bohat haseen raat hai, tera haseen saath hai
nashe meiN kuch nasha mila, sharaab la sharaab de

suroor hai, KHumaar hai, bahaar hee bahaar hai
magar zara ai dilruba, sharaab la sharaab de

Asif
03-08-2007, 11:59 AM
soo-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hoti
vo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hoti

go havaa-e-gulsitaaN ne mere dil ki laaj rakh li
vo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hoti

ye bajaa kali ne khil kar kiyaa gulsitaaN muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hoti

ye khule khule se gesoo inhen laakh tu saNvaare
mere haath se saNvarate to kuchh aur baat hoti

go haram ke raaste se vo pahuNch gaye Khudaa tak
teri raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hoti

Asif
03-08-2007, 11:59 AM
Mein nazar se pee raha hoon ye samaan badal na jaaye
Na jhukaao tum nigaahain kahin raat dhal na jaaye

Abhi raat kuch hai baaqi na uthaa niqab saaqi
Tera rind girtay girtay kahin phir sanbhal na jaaye

mere ashk bhi iss mein ye sharab ubal na jaaye
mera jaam choonay waalay tera hath jal na jaaye

Meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakh de
Teray aanay ki khushi mein mera dum nikal na jaaye

Mujhay phoonknay se pehle mera dil nikal lena
Ye kisi ki hai amanat kahin sath jal na jaye

Asif
03-08-2007, 12:00 PM
ab vo karam karen yaa sitam main nashe mein hoon
mujhako na koi hosh na Gham main nashe mein hoon

sine se bojh unke Ghamon kaa utaar ke
aayaa hoon aaj apani javaani ko haar ke
kehate hain Dagamagaate qadam main nashe mein hoon

vo bevafaa hain ab bhi ye dil maantaa nahin
kambaKht naasamajh hai unhen jaantaa nahin
main aaj toD doongaa bharam main nashe mein hoon

fursat nahin hai rone rulaane ke vaaste
aaye na unki yaad sataane ke vaaste
is vaqt dil kaa dard hai kam main nashe mein hoon
ab vo karam karen yaa sitam main nashe mein hoon



(Sahir Ludhianvi)

Asif
03-08-2007, 12:01 PM
shaam ke waqt jaam yaad aayaa
kitnaa dilachasp kaam yaad aayaa

jab bhi dekhaa koi hasin cheharaa
mujh ko teraa salaam yaad aayaa

sunke qisse Khudaa ki azmat ke
aadami kaa maqaam yaad aayaa

bansari ki navaa ko tez karo
aaj raadhaa ko shyaam yaad aayaa

sahan-e-masjid mein bhi hamen 'mohasin'
mayakade kaa qayaam yaad aayaa


(Mohsin Naqvi)

Asif
03-08-2007, 12:01 PM
meri nigaah chhalakataa huaa hai paimaanaa
nigaah-e-may se pilaaooN banaaooN diwaanaa

jo pine aaye hain un se kaho mujhe dekhen
meraa ye shoKh saraapaa hai aik may Khaanaa

har ek nazar mein hai mere shabaab ki masti
jise bhi dekh le meri adaa kaa mastaanaa

ye saari garmi-e-mahafil hai mere hi dam se
jise ho jalnaa qarib aaye ban ke parwaanaa

jidhar bhi jaaooN udhar phailati hain ***hbooyen
jo meri paaye mehak hosh se ho begaanaa


{Ahmad Warsi}

Asif
03-08-2007, 12:01 PM
hangaamaa hai kyooN barapaa thoDi si jo pi li hai
Daakaa to nahin Daalaa chori to nahin ki hai

us may se nahin matalab dil jis se ho begaanaa
maqsood hai us may se dil hi mein jo khinchati hai

sooraj mein lage dhabbaa fitarat ke karishme hain
but ham ko kahen Kaafir allaah ki marzi hai

naatajurbaa-kaari se vaa-iz ki ye baaten hain
is rang ko kyaa jaane poochho jo kabhi pi hai

waaN dil mein k sadame do, yaaN ji mein ki sab seh lo
unkaa bhi ajab dil hai, meraa bhi ajab ji hai

har zarraa chamakataa hai anawaar-e-ilaahi se
har saaNs ye kahati hai ham hain to Kudaa bhi hai

Ae shauq wahi may pi ai hosh zaraa so jaa
mehamaan-e-nazar is dam ik barq-e-tajalli hai


{Akbar Alah Abadi}

Asif
03-08-2007, 12:02 PM
hangama hai kyun barpa thodi si jo pi li hai
Daaka to nahi dala chori to nahi ki hai

naa-tajurbakari se vaaiz ki ye baatein hain
is rang ko kya jaane pucho to kabhi pi hai

us main se nahi matlab dil jis se hai begana
maqsud hai us main se dil hi mein jo khinchti hai

vaan dil mein ki sadme do yaan ji mein ke sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai

har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahii se
har saans ye kahti hai hum hain to Khuda bhi hai

suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
but hum ko kahe kaafir allah ki marzi hai

Asif
03-08-2007, 12:08 PM
phool hi phool khil uThe mere paimaane mein
aap kyaa aaye bahaar aa gai may-Khaane mein

aap kuchh yooN mere aainaa-e-dil mein aaye
jis tarah chaaNd utar aayaa ho paimaane mein

aap ke naam se taabindaa hai unwaan-e-hayaat
varanaa kuchh baat nahin thi mere afasaane mein

Asif
03-08-2007, 12:09 PM
is tarah har Gham bhulaya kijiye
roz maiKhane mein aya kijiye

chhoD bhi dijiye takalluf sheiKh ji
jab bhi aayen pi ke jaya kijiye

zindagi bhar phir na utere ga nasha
in sharabon mein nahaya kijiye

ai hasino ye guzarish hai meri
apane hathon se pilaya kijiye

Asif
03-08-2007, 12:11 PM
Ye hai mai-kada yahan rind hain yahan saqi sub ka imaam hai
ye haram nahin hai ai sheikh ji yahan paarsaai haraam hai

koi mast hai koi tishna lab to kisi ke haath mein jaam hai
magar is ka koi kare ga kiya ye to mai-kade ka nizaam hai

Asif
03-08-2007, 12:12 PM
zindagi jaam se behlanay chalay jaayen **
gham sataay ga to may khanay chalay jaayen **

Tere may khanay ki ronaq hai hamare dum se
tu ne moonh mora to deewanay chalay jaayen **

Hum samajhtay hain teri aakhon ki qeemat saqi
de ke kuch hosh ke azranay chalay jaayen **

Khair hum aaj chalay jaatay hain piyasay saqi
kal bohat door ye afsanay chalay jaayen **

Erum Zehra
03-08-2007, 12:13 PM
main nazar say pee raha hoon
ye sama badal na jayay..
na jhukaoo tum nighaheeen..
kahin raat dhall na jayay ..
meray ashkk b hain is main..
ye shaarab ubbale na jayay...

nice aps ji

Asif
03-08-2007, 12:13 PM
khote na hoon jo hosh unhen ghar bulaa ke pii
in meh- washon ko saamane, apane biThaa ke pii

behad naa pii, naa bol bahut, josh mein na aa
ruk ruk ke pii, sukuun se pii, sar jhukaa ke pii

Asif
03-08-2007, 12:14 PM
chalo pii lein ke yaar aaye na aaye
ye mausam baar baar, aaye na aaye

gulaabon ki tarah tum taazaa rahanaa
zamaane mein bahaar aaye na aaye

ye sochaa hai ki usako bhool jaayen
ab is dil ko qaraar aaye na aaye

"zameer" is zindagi se kyun Khafaa ho
ise phir tum pe pyaar aaye na aaye

Asif
03-08-2007, 12:15 PM
HUm bhi sharabi tum bhi sharabi
Chalkay gulabi chalkay gulabi
Tqdeer dil ki khana Kharabi

jab tak hai jeena khush ho ke ji lein
jab tak hai peena ji bhar ke pi lein
Hasrat na koi reh jaaye baaqi

HUm bhi sharabi tum bhi sharabi

Kal subah ke daaman mein tum ho ** na hum hoon **
bus rait ke seenay par kuch naqsh-e qadam hoon **

bus raat bhar ke mehmaan hum hain
zulfon mein shab ke thoray se gam hain
baqi rahay ga saghar na saqi

HUm bhi sharabi tum bhi sharabi

Asif
03-08-2007, 12:15 PM
jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la
zara si pyaas to buJha sharaab la sharaab la

tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tuJhe lage meri dua sharaab la sharaab la

yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh meiN
mitaa de naam hosh ka sharaab la sharaab la

tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la

Asif
03-08-2007, 12:16 PM
may pilaa kaR aapka kya jaaYeGa
jaaYega eimaaN jiska jaaYeGa

dekH kar mujhKo wo sharmaa jaaYeGa
Ye tamaasHa kis-se dekha jaaYeGa

jaaooN buth-khaane se kyoon kaabe ko maiN
haaTh se ye bhi Thikaana jaaYeGa

qat'L ki jab usne di dhamKi mujHe
keH diya maiN ne bhi deKha jaaYeGa

pee bhi le do ghooNt zaahiD pee bhi le
maikade se kaun pyaasa jaaYeGa

Asif
03-08-2007, 12:17 PM
Yeh Kaisa gham hai seenay mein Maza aata hai peenay mein
Nashay mein jhoom le ae dil lehar uthanay de seenay mein

Raaton ki siyahi se meri raahen hui roshan
duboi manzlen meri sooraj ne safeenay mein

dunia mein kabhi ek pal paya na sakoon main ne
guzari zindgi saari ghamon ke zakhm seenay mein

Meri chahat ke gulshan mein laga di aag hans hans ke
kisi ne dil jalaya hai mera sawan ke maheenay mein

Asif
03-08-2007, 12:18 PM
thodi thodi din mein peetay thodi peetay raat mein
thodi si jab piyas lagay phir peetay hian barsaat mein

peena ishq eibaadat meri botal hi mehbooba hai
duniya se begana ye dil piyar mein us ke dooba hai

Marna bhi aasaan lagay jab paimana ho haath mein
thodi si jab piyas lagay phir peetay hian barsaat mein

baat chali to kehtay hain warna hum chup rehtay hain
Achay hoon ya burey yahan par chhup chhup ke sub peetay hain

pi kar kabhi na behkay hain hum rehtay hain aoqaat mein
thodi si jab piyas lagay phir peetay hian barsaat mein

Pi kar aaye thay duniya mein peetay peeaty jaayengay
maikhanay mein yaaro apna naam amar kar jaayengay

jaayen ** jub iss duniya se jaam rahay ga saath mein
thodi si jab piyas lagay phir peetay hian barsaat mein

Asif
03-08-2007, 12:18 PM
Nazar nazar se mila kar sharab peete hain
hum unko paas bitha kar sharab peete hain

Issi liye to andhera hai maikade mein bohat
yahan gharon ko jala kar sharab peete hain

humein tumhare siwa kuch nazar nahin aata
tumhen nazar mein saja kar sharaab peetay hain

Unhi ke hissay mein aati hai piyas bhi aksar
jo doosron ko pila ker sharab peetay hain

Asif
03-08-2007, 12:18 PM
Jhoom ke jab rindon ne pila di
sheikh ne chupke chupke dua di

aik kami thi taj mahal mein
hum ne teri tasweer laga di

Aap ne jhoota waada kar ke
aaj hamari umar barha di

teri gali mein sajde kar ke
hum ne eibaadat gah bana di

Asif
03-08-2007, 12:19 PM
utha suraahi ye sheesha-o-jaam le saaqi
phir iss ke baad khuda ka bhi naam le saaqi

Phir us ke baad hameN tishnagi rahe na rahe
kuch aur der murawwat se kaam le saaqi

phir iske baad jo hoga wo dekha jaayega
abhi to peene pilaane se kaam le saaqi

tere huzoor meiN hosh-o-kHirad se kya haasil
nahin hai mai to nigaahon se kaam le saaqi

Asif
03-08-2007, 12:19 PM
Ayae kuch abr kuch sharaab aayae
us keh baad aayae jo aazaab aayae

baam-e-meena se mahtaab ootary
dast-e-saaqi mein aftaab aayae

har rag-e-khoon mein phir charaghan ho
samnae phir woh baenaqaab aayae

umr ke har varq pae dil ko nazar
teri meher-o-wafa keh baab aayae

KAR RAHA THA GHAM-E-JAHAAN KA HISAAB
AAJ TUM BAEHISAAB YAAD AAYAE (loved this one)

na gayae teray gham ki saradaari
dil mein youn rooz inqlaab aayae

jal oothae bazm-e-gair keh dar-o-baam
jab bhi hum khaanmaaein-kharaab aayae

iss tarha apni khamoshi goonji
goya har simt sae jawaab aayae

Faiz this raah sar basar manzil
hum jahan pohanchae kaamyaab aayae

poet = Faiz Ahmed Faiz

Asif
03-08-2007, 12:19 PM
utha suraahi ye sheesha-o-jaam le saaqi
fir iske baad khuda ka bhii naam le saaqi

fir uske baad hameN tishnagi rahe na rahe
kuch aur der murawwat se kaam le saaqi

fir iske baad jo hoga wo dekha jaayega
abhi to peene pilaane se kaam le saaqi

tere huzoor meiN hosh-o-kHirad se kya haasil
nahin hain mai tho nigaahon se kaam le saaqi

Asif
03-08-2007, 12:20 PM
Jo peekar mast huey hain un ke zikr se kya haasil
Jo peekar mast huey hain un ke zikr se kya haasil, un ke zikr se kya haasil
Jin tak jaam nahi pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho

Chup rehney se cut na sakegi sadiyon lambi raat yahan
Chup rehney se cut na sakegi sadiyon lambi raat yahan, sadiyon lambi raat yahan
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho

Phir palkon par jugnu chamke, aankhon mein ghata si lehrai
Phir palkon par jugnu chamke, aankhon mein ghata si lehrai, aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka zikr karo, kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho
Un aankhon ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho

Asif
03-08-2007, 12:21 PM
Jam chalnay dil machalnay lagay
chahray chahray pay rangay sharab aa gaya
baat kuch bi na thee baat itni huee
ajj mahfil may woo baynaqaab aa gaya

akk hi waqt may uss kay aanay say tha
chaandni ka saama rooshni ka gumaa
koee kahnay laga mahtaab aa gaya
koee kahnay laga aaftaab aa gaya

dilkhasi kia kahain nazuki kia kahain
taazgi kia kahain dil-lagi kia kahain
hath may hath uss ka woo aysay laga
jaysay hathoon may koee gulaab aa gaya


husn walay tayree baat rakhni pari
aa gaee imtahaan ki woo aakhir ghari
pooch lay pooch lay aaeena hi to hay
daykh lay ajj tayra jawaab aa gaya

naam apna kaheen per likha to nahi
bass issi baat ka ajj ker lay yaqeen
aaoo rahi zara pooch ker daikh lain
apnay dil ko khoolay kitaab aa gaya

Asif
03-08-2007, 12:23 PM
Nazraun Ki Shaukhiya Jab Chalthi Hai,
Kya Halat Hoti Hai Seene ke,
Karlo Nasha - E - Mahobbat Jaaneman,
Kya Zaroorat Hai Sharab Pene Ki.

Asif
03-08-2007, 12:23 PM
husn waaloN ka ehtaraam karo
kuch tho duniya meiN nek kaam karo

seikh aayeN hiaN Baawzoo hokar
ab tho peene ka intezaam karo

abhi barsenge har taraf jalwe
tum nighaahoN ka ehtamaam karo

log darne lage gunaahon se
barish-e-rehmat-e-tamaam karo

Asif
03-08-2007, 12:23 PM
Nazraun Ki Shaukhiya Jab Chalthi Hai,
Kya Halat Hoti Hai Seene ke,
Karlo Nasha - E - Mahobbat Jaaneman,
Kya Zaroorat Hai Sharab Pene Ki

Asif
03-08-2007, 12:24 PM
Khali Hai Aabi Jaam, Mein Kuch Soch Raha Hoon
Ay Gardish-E-Ayaam Mein Kuch Soch Raha Hoon
Saki Tujhe Kuch Thori Si Takleef To Hogi
Sagar Ko Zara Tham Mein Kuch Soch Raha Hoon

Asif
03-08-2007, 12:24 PM
Zindagee pal do pal ki hai saqi
jam bhur lai zindagee hai abhi baqi

Jeena hai tu je hi laingey magar
jam pi ley botul hai abhi baqi

Zindagee tu dukhun ka maila hai
pi kur sharab in ki zindagee bhi hai abhi baqi

Tera intezar bhot kia magar
terey bager bhi jam hai abhi baqi

Tu kia tujhSai aur kia magar
jam ka maza hai abhi baqi

Tum sa hai, na tha, na ho ga magar
jam main aik qatra hai abhi baqi

Dil tu kia, dil hi hai magar
tudr ker jam, zindagee ka kia maza hai abhi baqi

Tum nahien na sahee magar
jam key bager kia ab bhi zindagee hai baqi

Asif
03-08-2007, 12:24 PM
nasha dono mein hai saqee mujhey gham de ka sharaab
maiy bhee pee jaatee hai aansoo bhee piye jaate hain


larhate hain jaa ke baahar ye shaikh-o-barahman
peete hain maiyqade mein saaghar badal-badal kar


zulf bikhraaye haseen raat chalee aayee ho
saaqiyaa maiy ho shub e vasl ho tanhayee ho

Asif
03-08-2007, 12:25 PM
is tarah har Gham bhulaya kijiye
roz maiKhane mein aya kijiye

chhoD bhi dijiye takalluf sheiKh ji
jab bhi aayen pi ke jaya kijiye

zindagi bhar phir na utere ga nasha
in sharabon mein nahaya kijiye

ai hasino ye guzarish hai meri
apane hathon se pilaya kijiye

Asif
03-08-2007, 12:25 PM
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai

Asif
03-08-2007, 12:25 PM
kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahi sharab piye raat ho gayi;
naksha utha ke koi naya shahar dhoondhiye
ab to is shahar mai sabse mulakat ho gayi.

Asif
03-08-2007, 12:26 PM
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon,
Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon,
mujhko maaloom hai ishq ki haqeeqat lekin,
Hosh jab hadd se guzarti hai to pee letaa hoon!!

Asif
03-08-2007, 12:27 PM
Yahin ki thee muhabbat ke sabaq ki ibteda meine
Yahin ki jurrat-e-izhar-e-harfe-mudduaa meine
Yahin dekhe thay ishw-e-nazon andaaz-e-haya meine
Yahin pahle suni thee del dharkane ki sadaa meine
Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Dilon mein izdaham-e-aarzoo lab band rahate thay
Nazar se guftugu hoti thee dum ulfat ka bharate thay
Na mathay par shikan hoti, na jab tevar badalate thay
Khuda bhi bhee muskura deta thaa jab hum pyar karate thay

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Woh kya aata ke goya daur mein jaam-e-sharab aata
Woh kya aata rangilee ragani rangin rabab aata
Mujhe ranginiyon mein rangane woh rangin sahab aata
Labon ki may pilane jhumata mast-e-shabab aata

Yahin kheto mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi

Haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hoti
Fazan mein muntashar rangin badan ki larzishen hoti
Rabab-e-dil ke taron mein musalsil jumbishen hoti
Khifa-e-raaz ki purlutf baham koshishen hoti

Yahin kheo mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Bah jate thay baithe ishq ke zarri safinay mein
Tamannaon ka tufan karawaten leta tha seene mein
Jo chhu leta tha maine usko woh naha jata pasine mein
May-e-do aatisha ke se mazey aate thay jeene mein

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Bala-e-fikre farda hamse koson door hoti thee
Surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thee
Hamari khilwat-e-masoom rashke toor hoti thee
Mulik jhula jhulate thay ghazal-khwan hoor hoti thee

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Na ab woh khet baqi hain na woh aab-e-rawan baqi
Magar us aish-e-rafata ka hai ik dhundhla nishan baaqi

Asif
03-08-2007, 12:27 PM
Jab ghir ke aayee kali ghata, rindon ne kaha jee bhar ke pila
Inkaar kiya jab saaki ne, paimane toot gaye, paimane toot gaye
Jab ghir ke aayee kali ghata, rindon ne kaha jee bhar ke pila
Inkaar kiya jab saaki ne, paimane toot gaye, paimane toot gaye

Jab aaye sharabi masti mein, sab doob gaye yun masti mein
Hungama hua ek basti mein, hungama hua ek basti mein
Log aaye jab maikhane tak, paimane toot gaye, paimane toot gaye

Saaki ki nakaboo ulat-te hi, keemat na rahi paimane ki
Raunak hi gayi maikhane ki, raunak hi gayi maikhane ki
Sab peene lage jab aankhon se, paimane toot gaye, paimane toot gaye

Saaki ki nazar jab tang hui, sheeshon ki kismat sang hui
Yun saari faza be-rang hui, yun saari faza be-rang hui
Maikhane mein aise jung hui, paimane toot gaye, paimane toot gaye
Jab ghir ke aayee kali ghata, rindon ne kaha jee bhar ke pila
Inkaar kiya jab saaki ne, paimane toot gaye, paimane toot gaye
Paimane toot gaye, paimane toot gaye

Asif
03-08-2007, 12:28 PM
Nazar nazar se milaakar sharaab peete hain
ham unako paas biThaakar sharaab peete hain
isi liye to andheraa hai maikade mein
bahut yahan gharon ko jalakar sharab peete hain
hamein tumhaare sivaa kuchh nazar nahin
aataa tumhe.n nazar mein
sajaakar sharaab peete
hain unhiin ke hisse mein aati hai
pyaas hii aksar jo duusaron ko pilakar sharab peete hain

Asif
03-08-2007, 12:28 PM
maiy chhootee na maiykadaa chhootaa
jab bhee gujare udhar se guzare hain
thokarein khaaee hain vaheen 'taskeen'
ham sanbhal kar jidhar se gujare hain

Asif
03-08-2007, 12:28 PM
zindagi jabrey musalsal ke terha katey
na janey kis juram ke saza paye yadd nahi
aoiksajda kery almey madhoshi mein
log kehtey hai k saqi ko Khuda yadd nahi

Asif
03-08-2007, 12:29 PM
aap se gilaa aap kii qasam
sochate rahe.n kar na sake ham

us kii kyaa Khataa ladavaa hai Gam
kyuu.N gilaa kare.n chaaraagar se ham

ye navaazishe.n aur ye karam
fart-w-shauq se mar na jaaye ham

khe.Nchate rahe umr bhar mujhe
el taraf Khudaa ek taraf sanam

ye agar nahii.n yaar kii galii
chalate chalate kyuu.N ruk gaye qadam

Asif
03-08-2007, 12:29 PM
tujh ko dariyaadilii kii qasam saaqiyaa
mushtaqil daur par daur chalataa rahe
raunaq-e-maikadaa yuu.N hii ba.Datii rahe
ik girataa rahe ik sambhalataa rahe

sirf shabanam hii shaan-e-gulistaa.N nahii.n
sholaa-o-gul kaa bhii daur chalataa rahe
ashk bhii chashm-e-pur_nam se bahate rahe.n
aur dil se dhu_aa.N bhii nikalataa rahe

tere kabaze me.n hai ye mizaamii jahaa.N
tuu jo chaahe to saharaa bane gulistaa.N
har nazar par terii phuul khilate rahe
har ishaare pe mausam badalataa rahe

tere chehare pe ye zulf bikharii hu_ii
niind kii god me.n subah nikharii hu_ii
aur is par sitam ye adaaye.N terii dil hai
aaKhir kahaa.N tak sambhalataa rahe

is me.n Khuun-e-tamannaa kii taasiir hai
ye vafaa-e-muhabbat kii tasviir hai
aisii tasviir badale ye mumkin nahii.n
rang chaahe zamaanaa badalataa rahe

Asif
03-08-2007, 12:30 PM
mere qariib na aao ki mai.n sharaabii huu.N
meraa sha_uuf jagaao ki mai.n sharaabii huu.N


zamaane bhar kii nigaaho.n se gir chukaa huu.N mai.n
nazar se tum na giraao ki mai.n sharaabii huu.N


ye arz karataa huu.N gir ke Khuluus vaalo.n se
uThaa sako to uThaao ki mai.n sharaabii huu.N


tumhaarii aa.Nkh se bhar luu.N suruur aa.Nkho.n me.n
nazar nazar se milaao ki mai.n sharaabii huu.N

Asif
03-08-2007, 12:34 PM
Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
jo do pal mein utar jayegi
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi....

Asif
03-08-2007, 12:34 PM
Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye
Jo main rooth jaon to mujh ko manaye
Mere paas aaye zara muskaraye
Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye
3)iss kadar chaha hai tujhe humney
tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi
ik tere hi jalwe rehte hai ankhoon mein
kuch aur meri nigaahoon ko ab bhata nahi
4)saleeka hi nahi shayud usse mehsos karneka
jo kehta hai khudda hai to nazar ana zarori hai
jo dil mein hai usse ankho se kehlana zarori hai
mohabbat na samajh hoti hia ... samjhana zarori hai
5)Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya.
6)pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
ahsas dilay pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!
7)Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar...
8)Ae Allah aaj yeh faislaa kar de
Use mera ya mujhe uska kar de
Bohot dukh sahe hain maine zindagi mein
Koi khushi ab mera muqaddar kar de
Nahin naseeb main agar uska milna
Khatm karde ye zindagi, mujhe fana kar de !!!
9)Kon kehta hai wo mujh se juda hai
Har pal wo meri palkon mein rehti hai
Meri har saans main khusboo hai uski
Dil ki dharkan bhi yehi kehti hai
10)Ho sakta hai ki aaj unhe mere pyar aur dosti ki zarurat nahi,
par mujhe lagta hai ki dost ko uski dosti ka ehsaas tab hota hai,
jab wo uski zindagi se bohot dur chala jata hai...
aur beetein hue lamho ki kuch haseen yaadein **** jata hai.."

Asif
03-08-2007, 12:34 PM
apni chahat k do ghoont pila day
apni nazroon say chahay puri botal pila thay
jab nasha_E_muhabbat ka charr jaey
to ye shaam apnay naam kar wa lay

Asif
03-08-2007, 12:34 PM
mat La Meray Samnay Ya Surahi Sa Badan
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Brosa Kiya Ha
Jis Ki Mayyet Ko Haseenoon Nay Deyey Hoon Kanday
Wo To Barat Ha Barat Ka Janaza Kiya Ha
Apnay Hontoon Pa Hont To Mujay Dhar Lenay Do
Ik Do Goont Say Botal Ka Bagarta Kiya Ha

Asif
03-08-2007, 12:35 PM
Kabhee zamaane ki baton ka humper asar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye,
Haan kuch logon ne jo may(shraab) ko zahar ka naam diya
Wo jo saath den to ik pyaala zahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye

Zindgi kaatne ke humne bahaane dhoondhe
Kangaal basti me humne khzaane dhoondhe
Thak ker huaa mai choor sahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye

Pyaas jisski thee wo kabhee bhee paas na aaya
Zindgi ko mera salaam raas na aaya
Cum se cum mujhko zindgi ki kadar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye

Dhoondhte hain koi gulaab itne chehron me
Mera koi thor (thikana) nahi hai itne shahron me
Koi dil mera shahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye..

Asif
03-08-2007, 12:35 PM
subho milta hai kahan sham kahan milta hai....
dil e be chain ko araaaaaam kahan milta hai...
teri mehfil se pitay hai naseeboon valay..
bad naseeboon ko tera (JAAM) kahan milta hai...
ham fakeeroon ko bi de apne is hussan ki kharyet ...
jis ko deta hai KHUDA wo rahay KHUDA deta hai

Asif
03-08-2007, 12:35 PM
Mera dil roo raha hai tum bin
Mera sab kuch to tum hoo
Main to Kuch bhe Nahi H00n tum bin
Tum Bin guzaar to jayee gi zindagi
per main ji Na paoon gi tum bin
Hazaroon sitaroon ki bheer main bhi dekhoo
Ye chand kitna tanha hai tum bin
Rahon kahin bhi kisi ke sath bhi
Per main hamaisha udaas hoon tum bin
Agar charagoon ki roshni main hoon main
Per mere zindagi main andhaira hai tum bin
Baharoon ka mousam to hai gulshanoon main
Per pholoon mai khushboo nahi hai tum bin
Is hansi ke kehkahoon main dekhoo
Mera dil roo raha hai tum bin
Mera sab kuch to tum hoo
Main to Kuch bhe Nahi H00n tum bin

Asif
03-08-2007, 12:36 PM
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge
Gum sataega to maikhane chale jayenge

Tere maikhane ki raunak hai hamare dum se
Tune mooh mora to Deewane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge...

Hum samajte hai teri ankho ki keemat Saaki
Deke kuch hosh ke nazraane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge

Meri khamoshi ne rakha hai aaj tera bharam
Kal bahutdoor ye afsaane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge...

Asif
03-08-2007, 12:36 PM
Woh AANKHON se pilaye toh main kya karun,
Woh hothon se pilaye toh main kya karun,
hum pine ke aadi bilkul nahin,
par JAAM khud chal kar aaye toh main kya karun?

Asif
03-08-2007, 12:36 PM
Yeh bulandiyaaN jahaaN aaj hooN
TheeN kabhi yehi meri manzileiN
HaiN nazar meiN ab to meri najam
Mujhe aasmaaN ki talaash hai

Kabhi hai KHizaaN to kabhi hai bahaar
Yeh to AAm saa hee mizaaj hai
Ho bahaar hee jahaaN hukmaraaN
Mujhe oos jahaaN ki talaash hai

Woh Sikandari ho yaa Akbari
TalwaareiN sab jhuk hee gayeeN
Na ho zikr jis meiN shikast ka
Oosee daastaaN ki talaash hai

KarooN mashq subho se shaam tak
NaheeN paas waqt merey iss qadar
Lagey teer jiskaa nishaaney par
Mujhe oos kamaaN ki talaash hai

Asif
03-08-2007, 12:37 PM
shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa
merii duniyaa me.n ba.nde ke Khudaa hone kaa vaqt aayaa

u.nhe.n dekhaa to zaahid ne kahaa iimaan kii ye hai
ki ab i.nsaan ko sajadaa-ravaa hone kaa vaqt aayaa

takallum kii Khaamoshii kah rahii hai harf-e-matalab se
ki ashk-aamez nazaro.n se adaa hone kaa vaqt aayaa

Khudaa jaane ye hai auj-e-yaqii.n yaa pastii-e-himmat
Khudaa se khame.n bhii aa pa.Daa hai dosto.n se kaam kuchh

yaaniihamaare dosto.n ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
ah rahaa huu.N naaKhudaa hone kaa vaqt aayaa

Asif
03-08-2007, 12:37 PM
Kitni P kaisai kati raat mujhe yaad nahi
Raat k saath gai baat mujhe yaad nahi

Mujh ko yeh bhi nahi maloom k jana hai kahan
tham lai koi mera haath mujhe yaad nahi

Koi Paimana kahain toota k DIL hai mera
Badle badle hain khayalat mujhe yaad nahi

Ansoon aur sharaboon mein kati hain apni
main nai kab daikhi thi barsat mujhe yaad nahi
_________________

Asif
03-08-2007, 12:37 PM
shab-e-Gam ai mere allaah basar bhii hogii
raat hii raat rahegii ke sahar bhii hogii

mai.n ye sunataa huu.N ke vo duniyaa kii Khabar rakhate hai.n
jo ye sach hai to u.nhe.n merii Khabar bhii hogii

chain milane se hai un ke na judaa rahane se
aaKhir ai ishq kisii tarah basar bhii hogii

Asif
03-08-2007, 12:37 PM
nigaah-e-saaqii-e-naamaharabaa.N ye kyaa jaane
ki TuuT jaate hai.n Khud dil ke saath paimaane


milii jab unase nazar bas rahaa thaa ek jahaa.N
haTii nigaah to chaaro.n taraf the viiraane


hayaat laGzishe-paiham kaa naam hai saaqii
labo.n se jaam lagaa bhii sakuu.N Khudaa jaane


vo tak rahe the hamii.n ha.Ns ke pii gae aa.Nsuu
vo sun rahe the hamii.n kah sake na afasaane


ye aag aur nahii.n dil kii aag hai naadaa.N
chiraaG ho ke na ho jal bujhe.nge paravaane


fareb-e-saaqii-e-mahafil na puuchhiye "Majrooh"
sharaab ek hai badale hue hai.n paimaane

Asif
03-08-2007, 12:37 PM
shab tum jo bazm-e-Gair me.n aa.Nkhe.n churaa gaye
khoye gaye ham aise ke aGyaar paa gaye

majalis me.n us ne paan diyaa apane haath se
aGyaar sabz baKht the ham zahar khaa gaye

Gairo.n se ho vo pardaanashii.n kyo.n na behijaab
dam haay be-asar mere pardaa uThaa gaye

vaa_iz ke zikr-e-mehar-e-qayaamat ko kyaa kahuu.N
aalam shab-e-vasl ke aa.Nkho.n me.n chhaa gaye

duniyaa hii se gayaa mai.n jo nahii.n naaz se kahaa
ab bhii gumaan-e-bad na gaye tere yaa gaye

ai " " aap kab se hue ba.ndaa-e-butaa.N
baare hamaare ??? me.n hazarat bhii aa gaye

Asif
03-08-2007, 12:38 PM
ek sharabi ye keh raha tha aaj
meyre ibtda jaam meyre inteha jaam

howa hay be lagam jism jab se
dukh darad aur gam bhara piya jaam

main haran nahin tha os waqat bhi
saqi nay muj ko jab dia jaam

nashay main tha is qader madhosh main
tayray naam ko bhi likh dia jaam

pholon pe shabnam ka to sona hi tha
kanton se arahi hay sadaa jaam

ab k wo rothay to ye kehna jami
tuj se to aye sanam! hay acha jaam

Asif
03-08-2007, 12:38 PM
Haath *****e Bhi To Rishtey Nahi Choora Karte..
Waqt Ki Shakh Se Lamhein Nahi Toda Karte..

Jiski Awaaz Mein Silwat Ho NigahoN Mei Shikan..
Aisi Tasvir Ke Tukre Nahi Jora Karte..

Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thora Thora..
Jaane WaaloN Ke Liye Dil Nahi Tora Karte..

Lagke Sahil Se Jo Behta Hai Usse Behne Do..
Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte..

Asif
03-08-2007, 12:38 PM
Mere Jaise Ban Jao Ge jab ishq tumhein ho jaaye gaa
diivaroon se sar Takaraaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

har baat gavaaraa kar loge mannat bhii utaaraa kar loge
taveezein bhii bandhavaao ge jab ishq tumnhein ho jaaye gaa

tanhaii ke jhuule khuuleinge har baat puraanii bhuleinge
aaiine se tum ghabaraao ge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

jab suuraj bhii kho jaaye gaa aur chaand kahiin so jaaye gaa
tum bhii ghar der se aaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

bechainii bard jaayegii aur yaad kisii kii aayegii
tum merii Ghazlein gaaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

Asif
03-08-2007, 12:39 PM
dastoor ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho
ik haath mein maalaa ho ik haath mein pyaalaa ho

poojenge saleeqe se andaaz magar apanaa
ho yaad-e-Khudaa dil mein saaqi ne sambhaalaa ho

masti bhi taqaddus bhi ek saath chalen donon
ik simT ho maiKhaanaa ik simT shivaalaa ho

masjid ki taraf se tu jaanaa na kabhi saaqi
zaahid bhi kahin teraa na chaahane vaalaa ho

voh Doob kar mar jaayen madiraa ki suraahi mein
maashuq ne gar dil ki mahafil se nikaalaa ho

gemini
03-08-2007, 12:39 PM
very nice

Asif
03-08-2007, 12:39 PM
khamoshi meiN bhi ho jati hai sab haalat ayaaN meri
maiN chup rehta hoon keh deti haiN aankheN daastaaN meri

isi meiN hai bhalaii sab ki sun looN aur na kuch bolooN
ke aksar dalti hai mujh ko mushkil meiN zubaaN meri

khudaya jald hi aasaar payda wasl ke kar de
taRaptay woh udhar haiN hai buri haalat yahaaN meri

dua ko haath to uthtay haiN lekin dil ye kehta hai
mere ho jaaiN woh aisi bhala qismat kahaaN meri

kahi thi jin se dil ki baat sab se kahtay phirte haiN
so ab to ban gaii hai sari duniya raazdaaN meri

yuN hi khinchta chala ja'ay ga dil uski taraf Sarwat
yuN hi ek roz woh ban ja'ay gi phir jaan-e-jaaN meri

Asif
03-08-2007, 12:39 PM
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon,
Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon,
mujhko maaloom hai ishq ki haqeeqat lekin,
Hosh jab hadd se guzarti hai to pee letaa hoon!!


kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahi sharab piye raat ho gayi;
naksha utha ke koi naya shahar dhoondhiye
ab to is shahar mai sabse mulakat ho gayi.



Lufzoo mein fasaney dhundte hai hum log
lufzoo mein zamaney dhundtey hai hum log
to zair hi de sharab kehkar ay saqi
jeen ke bahaney dhundtey hai hum log



Zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon,
dard ko kam kar sake wo sharab dhoondta hoon,
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon main,
jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon main


aaj kal teri har adaa har nazaakat yaad aati hai,
or apni jo sham chadhti hai to paimane me dubh jaati hai,
abh to isi ka sahaara reh gaya tere jaane ke baad,
magar ise bhi jo peata hun to aankhon se chhalak jaati hai,
behlaane ki koshish to ki dil ko maine bahut magar,
hardum hansta hun phirbhi udasi muh per jhalak aati hai,
abh to ek hee khushi ki aas rehgai iss{Gareeb}ke paas,
unke ik nazar dikhne se jo chehare per chha jaati hai



Sharab ko gale lagakar, zamane ko bhula diya,
Kuch der ke liye sahi, haskar jee liyaa!



Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai,

Asif
03-08-2007, 12:39 PM
youn tanha jeene ki muje aadat si ho gayee hai
Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayee hai

Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
Muje Yeh dua maangne ki aadat si ho gayee hai

Kab tak jhutlao ** un se mohabbat apni
Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayee hai

Na jane kiyo shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
muje iss chehre ko ashqo mein chupane ki aadat si ho gayee hai

Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi day ga
Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayee hai

Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samaj sake
Logo ko mujhe na samaj kehne ki aadat si ho gayee hai

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai Saahil
Mujhe tanhayoun mein doobne ki aadat si ho gayee hai

Asif
03-08-2007, 12:40 PM
Fasl-e-Gul hai SHARAB pi ligié
Sharm kaisi Janaab pi ligié
Aur jo pié chup ké wo munaafiq hai
Bé taqalluf SHARAB pi ligié
Aagé chal kar Hisaab hona hai
Iss lié BEHISAAB pi ligié !!!

Asif
03-08-2007, 12:40 PM
lab pe khuda, saghar pe nazar hai
shaikh tumhaara dhyaan kidhar hai

moonh fer ke dekha na saaqee ne ek baar
ham jaam-jaam-jaam pukaare chale gaye

maiykhane se masjid tak paaye hain naqsh-e-paa
ya shaikh gaye honge ya rind gayaa hogaa

jab raste mein aa hee gayaa hai to dosto
kuchh der maikade ka samaa.n dekhate chalo

masjid mein bulaate hain hamein zaahid-e-naafaham
hotaa kuchh agar hosh to maiykhaane na jaate

maiy kee mastee to utar jaatee hai thorhee der mein
zindagee bhar ka nashaa hai aankhon ke paimaane mein

dikha ke madbharee aankhein, kahaa ye saaqee ne
haraam kahate hain jisko, ye vo sharaab nahin

haaye, ye zulfe-pareeshaan dekh ke
main chhalkataa jaam kaise chhorh doon

Asif
03-08-2007, 12:40 PM
zindagi jabrey musalsal ke terha katey
na janey kis juram ke saza paye yadd nahi
aoiksajda kery almey madhoshi mein
log kehtey hai k saqi ko Khuda yadd nahi
_________________

Asif
03-08-2007, 12:41 PM
shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa
merii duniyaa me.n ba.nde ke Khudaa hone kaa vaqt aayaa

u.nhe.n dekhaa to zaahid ne kahaa iimaan kii ye hai
ki ab i.nsaan ko sajadaa-ravaa hone kaa vaqt aayaa

takallum kii Khaamoshii kah rahii hai harf-e-matalab se
ki ashk-aamez nazaro.n se adaa hone kaa vaqt aayaa

Khudaa jaane ye hai auj-e-yaqii.n yaa pastii-e-himmat
Khudaa se khame.n bhii aa pa.Daa hai dosto.n se kaam kuchh

yaaniihamaare dosto.n ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
ah rahaa huu.N naaKhudaa hone kaa vaqt aayaa

Asif
03-08-2007, 12:42 PM
Ye intzaar galat hai ke shaam ho jaye.
Jo ho sake to abhi daur-e-jaam ho jaye.
Mujh jaise rindh ko bhi tune, hashr mein, ya rub,
bula liya hai to kuch intzam ho jaye.

Hui mehngi bahut hi shraab ke thodi thodi piya karo.
Piyo lekin rakho hisaab ke thodi thodi piya karo.
Ke thodi thodi piya karo. Ke thodi thodi piya karo.
Hui mehngi bahut hi shraab, Ke thodi thodi piya karo.

Gam ka daur ho ya ho khushi, sama bandhti hai shraab.
Ek mashwara hai janab ke thodi thodi piya karo.
Ke thodi thodi piya karo. Ke thodi thodi piya karo.
Hui mehngi bahut hi shraab ke thodi thodi piya karo.

Dil ke zakhm ko seena kya, peene ke liye jeena kya.
Phoonk dale jigar ko shraab ke thodi thodi piya karo.
Ke thodi thodi piya karo. Ke thodi thodi piya karo.
Hui mehngi bahut hi shraab ke thodi thodi piya karo.

Dilbar ki baaton mein nasha, zulfon mein nasha, aankhon mein nasha.
Mai se badhke uska shbaab ke thodi thodi piya karo.
Ke thodi thodi piya karo. Ke thodi thodi piya karo.
Hui mehngi bahut hi shraab ke thodi thodi piya karo.
Piyo lekin rakho hisaab ke thodi thodi piya karo.
Ke thodi thodi piya karo.

Asif
03-08-2007, 12:42 PM
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge
Gum sataega to maikhane chale jayenge

Tere maikhane ki raunak hai hamare dum se
Tune mooh mora to Deewane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge...

Hum samajte hai teri ankho ki keemat Saaki
Deke kuch hosh ke nazraane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge

Meri khamoshi ne rakha hai aaj tera bharam
Kal bahutdoor ye afsaane chale jayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jayenge...

Asif
03-08-2007, 12:45 PM
Sharab Cheez Hee Aesi Hai Naa Chori Jaye
Yeh Mere Yaar K Jaesi Hai Naa Chori Jaye

Har Aik Shay Ko Jahan Mein Badalte Dekha
Magar Yeh Waese Ki Waesi Hai Naa Chori Jaye

Yehi Tou Tootay Dilon Ka iLaj Hai Rashid
Main Kaya Kahoon K Yeh Kaesi Hai Naa Chori Jaye..

Asif
03-08-2007, 12:45 PM
Pyaar ka pehla khat likhney main waqt to lagtaa hai
Naye parindoN ko udney main waqt to lagtaa hai

Jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
Lambi doori taiy karne main waqt to lagtaa hai

Gaanth agar lag jaye to phir rishtey hoN ya dori
Lakh karein koshish khulne main waqt to lagtaa hai

Hum ne ilaaj-e-zakhm-e-dil to dhund liaa lekin
Gehrey zakhmoN ko bharney main waqt to lagtaa hai

Asif
03-08-2007, 12:46 PM
Yeh ilm baghaawat hai yaaro
Yeh ilm baghaawat hai yaaro
Jo zulm ke khooni panjon pe
Zaalim ke ghag shikanjon pe
Yoon bijli bun kar barsay ga
Ke dharti thur thur kaanpe gi
Ae aazadee ke deewanon
Kab tak yoon door andheron main
Darya say door basairon main
Tum aazadi ko dhoondo **
Ae ahl-e-watan ae ahl-e-qafas
Ae ahl-e-watan ae ahl-e-qafas
Tum khas-ul-khas ho aam nahin
Tum saaray ghar ki izzat ho
Tum haakim ho mehkoom nahin
Yeh loah-o-qalam tum he say hay
Tum he taqdeer badaltay ho
Tum ho Mohammad-bin-Qasim
Phir kyon zanjeer say dartay ho
Mut zalim say mut qaatil say
Mut zalim say mut qaatil say
Mut kaafir say mut kaafir say
Mut zaalim say faryaad karo
Aur baat kisi ki yaad karo
Manjhdaar main koodo mallah ho
Toofaan ke muqabil ho jaao
Yoon saahil saahil kehne say
Yoon saahil saahil kehne say
Kya khaak Kinaara aaey ga

Asif
03-08-2007, 12:46 PM
Main ne chaaha
Tere janam din per
Aisa tuhfaa teri nazar karoon
Jisay too umr bhar yaad rakhay
Phir aik lamhay ki soach nay
Mere haath buland kiay
Kuch lafzoan ke phool
Duaaon ke panchee
Dil ki gehraaiyon say aazad kiay
Ke aanay waalay mausamoan main
Ghum ki ghataain
Kabhi teray qareeb na aain
Teri aankhon ke jugnoo sadaa chamkain
Khuda tera daaman hamesha musarraton say humkinaar karay
Kabhi jo too
Zindagi ki karri dhoop main
Palat ke daikhay
To bohat si khush-rung yaadain
Gulaab lehjoan ki dilfaraib batain
Beetay lamhoan ki chaandni
Tere weeraan dil ko bahar kare
Too her guzray lamhay say pyaar karay
Aur khuda-e-lum yazl
Teri umr daraaz karay

Asif
03-08-2007, 12:46 PM
Kabhi kabhi meray dil main khayaal aata hai
Ke zindagi teri zulfoan ki nurm chhaaon main
Guzarnay paati to shaadaab ho bhi sakti thee
Yeh teergee jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon main kho bhi sakti thi
Ajab na tha ke main baigana-e-alam ho kar
Teray jamal ki ranaaiyon main kho rehta
Tera gudaaz badan teri neem baaz aankhain
Inheen haseen fasaanon main mahuv ho rehta
Pukaarteen mujhe jub talkhiyaan zamanay ki
Teray laboan say halaawat ke ghoont pee laita
Hayaat cheekhtee phirti berhana sir aur main
Ghanairee zulfoan ke saaye main chhup kay jee laita
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera ghum teri justujoo bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
Isay kisi ke sahaaray ki aarzoo bhi nahin
Zamaanay bhar kay dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjaanee raahguzaaron say
Muheeb saaye meri simt barhtay aatay hain
Hayaat-o-moat ke pur-hoal khaarzaaroan say
Na koi jaadah na manzil na roashni ka suraagh
Bhatak rahi hai kahlaaon main zindagi meri
Inhi khalaaon main reh jaaoon ga kabhi khoa kar
Main jaanta hoon meri hum-nafas magar yoon he
Kabhi kabhi meray dil main khayaal aata hai

Asif
03-08-2007, 12:46 PM
Chaloa ik baar phir say ajnabi bun jaayain hum doanon
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazee ki
Na tum meri taraf daikho ghalat-andaaz nazroan say
Na meray dil ki dharhkan larhkharhaaye meri baatoan main
Na zaahir ho tumhaari ***hma***h ka raaz nazroan say
Tumhain bhi koi uljhan roakti hai paish-qadmi say
Mujhe bhi loag kehtay hain ke kya jalway paraaye hain
Meray humraah bhi ruswaaiyaan hain meray maazi ki
Tumhaaray saath bhi guzree hoi raatoan ke saaye hain
Taarruf roag ho jaaye to us ko bhoolna behtar
Taalluq boajh bun jaaye to us ko toarhna achha
Woh afsaana jisay takmeel tak laana na ho mumkin
Usay ik khoobsoorat moarr daikar chhorrna achha
Chaloa ik baar phir say ajnabi bun jaayain hum doanon

Asif
03-08-2007, 12:47 PM
Chupkay chupkay ansoon bahana kaho kasa lagta hai
samoonder ko dekh ker pyassa guzerna kaho kesa lagta hai
woh hawahish jiss ko zindgi ka maqsad jantay rahay
uss ko dil hi dil main dabay rakhna kaho kea lagta hai
apnay tootay dil k tukroon ko lay ker
khilkhala ker hansna kaho kesa lagta hai
woj jissay zindgi ber apna mantay rahay
uus ka geyroon sa ravia ho kesa lagta hai
woh jiss nay rat rat bher rolaya hamay
uus se muskara ker baat kerna kaho kesa lagta hai
woh saath jiss ki arzoo ki thi hum ne
uus saath ko kisi aur ka banana ho kesa lagta hai

Asif
03-08-2007, 12:47 PM
tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu.Ngaa

ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aa_uu.Ngaa

isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa

sard raato.n ke mahakate hue sannaaTo.n me.n
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aa_uu.Ngaa

ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N
haath se Khud inhe.n po.nchhoge to yaad aa_uu.Ngaa

shaal pahanaayegaa ab kaun disambar me.n tumhe.n
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaad aa_uu.Ngaa

aaj tum mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aa_uu.Ngaa

haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa

is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uu.Ngaa

Asif
03-08-2007, 12:48 PM
Bari haseen raat thee
charag o aaftaab goom

bari haseen raat thee

shabaab ki naqaab goom

bari haseen raat thee,,,,,,


mujhe pila rahe thea wo k khud hi shama bujh gayee
glass goom sharaab goom

bari haseen raat thee,,,,


labon se lab jo mil gaye ,,labon se lab hi sil gaye
sawal goom jawab goom

bari haseen raat thee

likha tha jis kitaab mai ke ishq to haraam hai
hui wohi kitaab goom

bari haseen raat thee
charaag o aaftaab goom,,,,,,,,

Asif
03-08-2007, 12:48 PM
thukraao ab ke pyaar karo mai nashea mai hoon
jo chaaho mere yaar karo mai nashea mai hoon

ab bhi dila rah hoon yaqeen-e- wafa magar
mera na aitbaar karo mai nashea mai hoon

girne do tum mujhe mera saagar sanbhaal lo
itna to mere yaar karo mai nashea mai hoon

Asif
03-08-2007, 12:48 PM
dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aya
Khali Hi Sahi Hathon Mein Jam To Aaya

Mein Hoon Bewafa Sabko Betaya Usne
Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya

Asif
03-08-2007, 12:49 PM
ruudaad-e-muhabbat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye
do din kii masarrat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye


jab jaam diyaa thaa saaqii ne jab daur chalaa thaa mahafil me.n
vo hosh kii sa'at kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye


ehasaas ke maiKhaane me.n kahaa.N ab fikr-o-nazar kii qandiile.n
aalam kii shiddat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye


ab apanii haqiiqat bhii "Sagar" berabt kahaanii lagatii hai
duniyaa kii haqiiqat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye

Asif
03-08-2007, 12:49 PM
maikadaa thaa chaaNdanii thii main na thaa

maikadaa thaa chaaNdanii thii main na thaa
ik mujassam beKhudii thii main na thaa


ishq jab dam tortaa thaa tum na the
maut jab sar dhun rahii thii main na thaa


tuur par chheraa thaa jis ne aap ko
vo merii diivaangii thii main na thaa


maikade ke morr par ruktii hu_ii
muddaton kii tashnagii thii main na thaa


main aur us Gunchaadahan kii aarzuu
aarazuu kii sadagii thii main na thaa


gesuuon ke saaye mein aaraam-kash
sar-barahanaa zindagii thii main na thaa


dair-o-kaabaa mein "Adam" hairat-farosh
do jahaaN kii badzanii thii maiin na thaa

Asif
03-08-2007, 12:50 PM
jab gardishon men jaam the
kitane hasiin ayyaam the


ham hii na the rusvaa faqat
vo aap bhii bad_naam the



kahate hain kuchh arsaa huaa
qaabe mein bhii asnaam the



anjaam kii kyaa sochate
naa-vaaqif-e-anjaam the



ahad-e-javaanii mein "Adam"
sab log gul_andaam the

Asif
03-08-2007, 12:50 PM
Dhal GaYa Aaftab Ae SaaQi
Laa Pila De Sharaab Ae SaaQi!!


Ya Surahi LaGa Mere M0n Se
Ya Ulat De NaQab Ae SaaQi!!


Maikada Chor Kar Kahan Jaon
Hai Zamana Kharab Ae SaaQi!!


Jaam Bhar De Gunnah Garon Ke
Ye Bhi Hai Ik Sawab Ae SaaQi!!


AaJ Peene De Aur Peene De
Kal KarenGe Hisaab Ae SaaQi!!

Asif
03-08-2007, 12:50 PM
Rasm e deewaangi bhi mujh ko nibhaani hai abhi
zindagi tujh se juda ho ke bitaani hai abhi

Saaqiyaa de wohi piyaala gham e hasti ka mujhe
is mai baaqi meri do ghoont jawaani hai abhi

Asif
03-08-2007, 12:50 PM
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,


humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai

Asif
03-08-2007, 12:51 PM
is tarah har Gham bhulaya kijiye
roz maiKhane mein aya kijiye

chhoD bhi dijiye takalluf sheiKh ji
jab bhi aayen pi ke jaya kijiye

zindagi bhar phir na utere ga nasha
in sharabon mein nahaya kijiye

ai hasino ye guzarish hai meri
apane hathon se pilaya kijiye

Asif
03-08-2007, 12:52 PM
Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !


Isee liyey to andhera hai maikaday mein bahut,
Yahan garon ko jala kar sharaab peetay hain !


Hamey tumharay siva kuch nazar nahin aaata,
Tumhay nazar mein saja kar sharaab peetay hain !


Un kay hisay mein aati hai pyaas hi aksar,
Jo doosron ko pila kar sharaab peetay hain !


Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !

Asif
03-08-2007, 12:59 PM
Pattharon se sar takraane ke baad
Humne pee lee fir qasam khaane ke baad
Jisko kehta hai zamana meqada
Ek basti si hai veeraane ke baad....

Asif
03-08-2007, 12:59 PM
merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye

merii tabaahii kaa ilzaam ab sharaab pe hai
mai.n aur karataa bhii kyaa tum pe aa rahii thii baat

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dhataa hai sharaabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n

rah ga_ii jaam me.n anga.Daa_iyaa.N leke sharaab
ham se maa.Ngii na ga_ii un se pilaa_ii na ga_ii

ruuh kis mast kii pyaasii ga_ii maiKhaane se
mai u.Dii jaatii hai saaqii tere paimaane se

garche ahal-e-sharaab hai.n ham log
ye na samajho Kharaab hai.n ham log

Asif
03-08-2007, 01:00 PM
irshaad ho to main ise aankhon pe fer loon
bheegaa huaa hai aapkaa daaman sharaab men

yah damaktaa huaa chehraa,ye nasheeleee aankhen
chaandanee raat men maykhaanaa khulaa ho jaise

pee-pee ke saaraa jism hi ab jaam ho gayaa
dafnaanaa meree laash bhi sharaabkhaane men

maine taubaa kaa iraadaa hi kiyaa thaa lekin
teree tasveer ubharne lagee paimaane men

bhalaa taubaa ka maykhaane men kyaa zikr
jo hai bhi to kaheen tootee parhee hai

har haal men sharaab ka peenaa gunaah hai
aankhon se koee pilaaye to kyaa karoon

peetaa hoon tasvvoor men unke labe-naazuk se
aagosh men saaqee hai,lab tak meraa paimaanaa

taubaa to kar chukaa thaa magar iskaa kyaa ilaaj
vaaiz ki zid ne fir mujhe majboor kar diyaa

maykade men mujhe mahsoos huaa hai aqsar
ye wo duniya hai jahaan gham ki koee raat nahin

meraa yahee khayaal go maine pee nahin
koee hansee.n pilaaye to ye shay buree nahin

ye dil ki mastee hai jo rang laatee hai
nashaa sharaab men hotaa to naachatee botal

saaqee jo aankh se pilaanaa shuroo kare
thokar lagaa doon jaam men rakkhee sharaab ko

Asif
03-08-2007, 01:00 PM
fir haafiz-o-ghalib ko javaani de doon
khayyaam ko fir qaalib-e-saanee de doon
ek pal ke liye jo main khudaa ho jaaoon
duniyaa ko bas aangoor kaa paanee de doon

botal khulee jo hazarate-zaahid ke vaaste
maare khushee ke kaag bhee do gaz oochal gayaa

jab maiykadaa chhootaa to fir ab kyaa jagah kee qaid
maszid ho,madrasaa ho,koee khanqaah ho

huaa jo khaaq badan,saagar-e-sharaab banaa
hazaar shukr ke zarre se aafataab banaa

rindaan-e-beriyaa kee hai sohabat jise naseeb
zaahid bhee ham mein baithke insaan ho gayee

nazar milaake nazar se jo de diyaa saaqee
iss ek jaam pe kurbaan laakh maiykhaane

maiy bhee hai,meenaa bhee hai, saaghar bhee hai,saaqee nahin
jee mein aataa hai laga dein aag maiykhaane ko ham

angoor mein yahee thein paanee kee chaar boond
par jab khinch gayee hai,talvaar ho gayee hai

haath se kisne saagar patkaa maosam kee be-kaifee par
itnaa barsaa toot ke baadal doob chalaa maiykhaanaa bhee

maseehaa banke beemaaron ko kis par chhorhe jaate ho
tasllee bhee diye jaate ho dil ko bhee torhe jaate ho
sharaab-e-shauq peene ko pyaalaa nahin rakkhaa
faqat ek dam kaa saagar hai,usse bhee torhe jaate ho

Asif
03-08-2007, 01:00 PM
raat ham to piye huai the magar
aapkee aankh bhee sharaabi thee
fir hamaare kharaab hone mein
ap hi kahiye kyaa kharaabi thee

bik gaye jab tere lab,fir tumko kyaa shikvaa
zindgaanee baadaa-o-saagar se bahlaayi gayee
ai gham-e-duniyaa tujhe kyaa ilm,tere vaaste
kin bahaano.n sw abiyat raah par laayee gayee

maiy kee mastee to utar jaatee hai thodee der mein
zindgee bhar kaa nashaa aankhon ke paimaane mein hai

maiy chhootee na maiykadaa chhootaa
jab bhee gujare udhar se gujare hain
thokarein khaaee hain vaheen 'taskeen'
ham sanbhal kar jidhar se gujare hain

pattharon se sar takraane ke baad
hamne pee lee fir qasam khaane ke baad
jisko kahata hai zamaanaa maiykadaa
ek bastee see hai veeraane ke baad

jab gham-e-ishq sataataa hai to hans letaa hoon
haadisaa yaad jab aataa hai,to pee letaa hoon
meree ujarhee huee duniyaa mein muhabbat ka chiraag
jab koee aake bujhaataa hai,to pee letaa hoon

maikash hoon vo ki poochhataa hoon uthke hashr mein
kyon jee sharaab kee hain dukaane.n yahaan kaheen

hashr tak jee mein hai,behosh rahoon saaqee
kaash! maiy bhar de mere umr ke paimaane mein

dil shikastaa hai,nikal aate hain aksar aansoo
maiy tapak parhtee hai,toote huai paimaane se

saaqiyaa tashngee kee taab nahin
zahar de de agar sharaab nahin

Asif
03-08-2007, 01:00 PM
mai.n nazar se pii rahaa huu.N, ye samaa badal na jaae
na jhukaao tum nigaahe.n, kahii.n raat Dhal na jaae

mere ashk bhii hai.n is me.n, ye sharaab ubal na jaae
meraa jaam chhuunevaale, teraa haath jal na jaae

abhii raat kuchh hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
teraa ri.nd girte girte, kahii.n phir sambhal na jaaaye

merii zi.ndagii ke maalik, mere dil pe haath rakh_naa
tere aane kii Khushii mei.n, meraa dam nikal na jaae

mujhe phuu.Nk_ne se pahle, meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat, kahii.n saath jal na jaae

Asif
03-08-2007, 01:01 PM
saqee mujhe sharaab kee tohmat nahin pasand
mujhko teree nigah kaa iljaam chaahiye

saaqee tere maiykhane mein jab ham nahin honge
tab toote huai paimaane hamen yaad kareinge

ye maiy chhalke bhee uss husn ko pahunch na saki
ye phool khilke bhee teraa shabaab ho na sakaa

main aur bazm-e-maiy se youn tashnaakaam aaoon
gar maine kee thee taubaa saqee ko kyaa huaa thaa

ek vo maiy jo aankhon se pilaade tumne
madahosh kiye detee hain,ye aapkee ankhiyan

saaqee ne bhar ke diye, diye sabko bazm mein
saaghar jo hamne maangaa to sheeshaa dikhaa diyaa

Asif
03-08-2007, 01:01 PM
main haadason se jaam larhaataa chalaa gaya
hanstaa-hansaataa, peetaa-pilaataa chalaa gaaa
vo raftaa-raftaa jaam pilaate chale gaye
main raftaa-raftaa hosh mein aataa chalaa gaya

ik sabr hai jiske sivaa kuchh paas nahin hai
barbaad tamannaaon ka ehasaas nahin hai
kam jarf nahin hoon jo main maange ke peeloon
aour ye bhee nahin hai ke mujhe pyaas nahin hai

maan mausam kaa kahaa, chhaayee ghataa, jaam uthaa
aag se aag bujhaa, phuool khilaa, jaam uthaa

nazar nazar se milaakar sharaab peete hain
ham unako paas bithaakar sharaab peete hai

isee liye to andheraa hai maikade mein bahut
yahaan gharon ko jalaakar sharaab peete hain

hamen tumhaare sivaa kuchh nazar naheen aataa
tumhein nazar mein sajaakar sharaab peete hain

oonheen ke hisse mein aatee hai pyaas hee aksar
jo doosaron ko pilaakar sharaab peete hain

Asif
03-08-2007, 01:01 PM
naqaab kahateehai 'main parday-e-qayaamat hoon'
agar yaqeen na ho dekh lo uthaake mujhe
main dar rahaa hoon tumhaaree nasheeli aankhon se
ki loot na lein kisee roz kuchh pilaa ke mujhe

kahin botal,kahin saagar,kahin meenaa,kahin saaqee
yah mahafil aisee bikharee hai ke pahachaanee nahin jaatee

maiy chhuti aour na maiykadaa chhootaa
jab bhee gujarein hain udhar se gujarein hain

pattharon se sar takaraane ke baad
hamane peelee fir qasam khaane ke baad
jisko kahataa hai zamaanaa maiyqadaa
ek bastee hai veeraane ke baad

jab gham-e-ishq sataataa hai to haans letaa hoon
hadisaa yaad jab aataa hai to pee letaa hoon
meree ujarhee huee duniyaa mein muhabbat kaa chiraagh
jab koee aake bujhaataa hai to pee letaa hoon

Asif
03-08-2007, 01:01 PM
too saaqee-e-maiykhana bhee too nashsh-o-maiy bhee
main tishn-e-hastee mujhe mastaanaa banaa de
allah ne tujh ko maiy-o-maiykhana banaayaa
too saaree fazaa ko maiy-o-maiykhana banaa de

miltee hai umr-e-abad ishq ke maiykhane mein
ai azal too bhee samaaja mere paiymaane mein
sab kuchh allah ne de rakkhaa hai maiykhane mein
khuld sheeshe mein hai,firdaus hai paiymane mein

garche aihal-e sharaab hein ham log
ye na samjho kharaab hein ham log
jab milee aankh hosh kho baithe
kitne haazir javaab hein ham log

Asif
03-08-2007, 01:02 PM
vo chiiz jis ke liye ham ko bahisht aziiz
sivaaye baadaa-e-gul_faam-e-mushk_buu kyaa hai
- Mirza Ghalib

gar aag maikasho.n kii sazaa hai to yaa Khudaa
dozaKh me.n ek nahar bahaa de sharaab kii
- Unknown

merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye
- Unknown]

merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye
- Unknown]

hijr me.n kaif-e-iztaraab na puuchh
Khuun-e-dil bhii sharaab honaa thaa

Asif
03-08-2007, 01:02 PM
jahaan se pichhale pahar koee tashnaakaam utthaa
vahin pe torhe hai yaaron ne aaj paiymaane

maiy uskee nasheelee aankhon kee talkhaab sahee zaharaab sahee
lekin fitarat kuchh chaahatee thee,dil pyaasaa thaa peenaa hee parhaa

yah kaisee mahfil hai jismein saaqee!lahoo pyaalon meon bat rahaa hai
mujhe bhee thorhee see tishngee de ki torh doon yah sharaabkhaanaa

ham maiykashon ke qadamon pe aqsar
jhuk-jhuk gaye hain mahraab-o-mimber
ab maiykade kaa aalan na puchho
ik sheeshh-e-dil aour laakhon patthar

kuchh tujhko khabar hai ai saaqee ab rang hai kyaa paimaano kaa
maiynosh kharhe kis hasrat se munh takte hain paiymaano kaa

Asif
03-08-2007, 01:02 PM
tauba ko torhane kee to neeyat na thee hamaaree
mausam ka aihtiram na karte to zulm thaa

maiy see haseen cheez aour ho vaaqaee haraam
main kasarte-shukook se ghabraake pee gayaa

maiykada thaa chaandanee thee,main na thaa
ik mujassm be-khudee thee main na thaa

maiykade ke morh par ruktee huee
muddhaton kee tashngee thee,main na thaa

maiy ke baare mein 'adam' itnee khabar hai hamko
cheez achchhee hai tabeeyat kee ravaanee ke liye

saaqee sharaab la ke tabeeyat udaas hai
mutrib rabaab uthaa ke tabeeyat udaas hai

jis cheez mein madahoshee-e-sahabaa ka asar hai
vo teree tazallee naheen,vo meree nazar hai

Asif
03-08-2007, 01:03 PM
lab pe khuda, saghar pe nazar hai
shaikh tumhaara dhyaan kidhar hai

moonh fer ke dekha na saaqee ne ek baar
ham jaam-jaam-jaam pukaare chale gaye

maiykhane se masjid tak paaye hain naqsh-e-paa
ya shaikh gaye honge ya rind gayaa hogaa

jab raste mein aa hee gayaa hai to dosto
kuchh der maikade ka samaa.n dekhate chalo

masjid mein bulaate hain hamein zaahid-e-naafaham
hotaa kuchh agar hosh to maiykhaane na jaate

maiy kee mastee to utar jaatee hai thorhee der mein
zindagee bhar ka nashaa hai aankhon ke paimaane mein

dikha ke madbharee aankhein, kahaa ye saaqee ne
haraam kahate hain jisko, ye vo sharaab nahin

haaye, ye zulfe-pareeshaan dekh ke
main chhalkataa jaam kaise chhorh doon

Asif
03-08-2007, 01:03 PM
doosron se bahut aasaan hai milna saqee
apnee hastee se mulaaqaat barhee mushkil hai

maiy-khaana-e-hastee mein aksar ham apnaa thikaanaa bhool gaye
ya hosh se jaanaa bhool gaye ya hosh mein aanaa bhool gaye

asbaab to ban hee jaate hain taqdeer kee zid ko kyaa kahiye
ik jaam to pahunchaa thaa ham tak ham jaam uthaanaa bhool gaye

saaqee mere khuloos kee shiddhat ko dekhanaa
fir aa gayaa hoon ghardish-e-dauraan ko taal kar

ham se adam chhupaao to khud bhee na pee sako
rakkhaa hai tumne kuchh to suraahee mein daal kar

kyon dekhate hain gaur se maiykash meree taraf
saaqee teree nigaah se kya kah gayaa hoon main

jab bhee nigaah-e-saaqee dil ko tatoltee hai
armaan bhee dolte hain, neeyat bhee doltee hai

unkee mast aankhon se kuchh aisee aqeedat ho gayee
jaam mazahab ban gayaa sahabaa shareeyat ho gayee

pahale peete the koee maakool mauqaa dekha kar
raftaa-raftaa besabab peene kee aadat ho gayee

Asif
03-08-2007, 01:03 PM
Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN
Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waqte sahar bhi hooN maiN ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN

Hum jaan hi gaNwa deN ishare per aap ke
“Dil kis shumaar meN hai jagar kis hisaab meN

“Noor” lakh badleN yeh mausam to kya ahoa
Khooshboo gulab ki hi rahegi gulab meN

Asif
03-08-2007, 01:03 PM
saaqiyaa kyaa yahee hai husn-e-nizaam
har tarf shor hai, sharaab- sharaab


chhalkaa thaa mere vaaste paimaana-e-zamaal
thorhaa sa kaif chaand-sitaare bhee paa gaye


larhate hain jaa ke baahar ye shaikh-o-barahman
peete hain maiyqade mein saaghar badal-badal par


rindon ko bahisht kee khabar de saaqee
ik jaam pilaa ke mast kar de saaqee


pahale sharaab zeest thee ab zeest hai sharaab
koee pilaa rahaa hai, piye jaa rahaa hoon main


main chhorh aayaa thaa masjid mein shaikh ko lekin
vo peechhe-peechhe mere maiyqade mein aa nikalaa


jeene kee duaayein jo bujurgon se mileen
le vo bhee teree nazr magar jaam pilaa

Asif
03-08-2007, 01:04 PM
maikhaane se sharaab se saaqee se jaam se
apnee to zindagee shooru hotee hai shaam se

ik nashsha hai jo nashsha-e-maiy se bhee siva hai
yeh raaz kabhee baadaa gusaaron mein kaheinge

zindagee jab guzaarnee hai kaheen
yaar phir kyaa buraa hai maikhaanaa

nashaa dono main hai saaqee mujhe ghum de ya sharaab
may bhee pee jaatee hai aansoo bhee piye jaate hain

havaa mein nashsha hee nashsha, faza mein rang hee rang
yeh kis ne pairahan apnaa uchhaal rakhaa hai ?

saaqee, dar-e-maikhaanaa zaraa khol ke rakhnaa
shaayad mujhe jannat ki hawaa raas na aaye

jaam tharraane lage, urh gayee botal se sharaaab
be-vuzoo aa gayaa shaayad koee maikhaane mein

Asif
03-08-2007, 01:04 PM
gunaah koee na karte sharaab hee peete
yah kyaa kiyaa ki gunah to kiye, sharaab na pee


she'r-e-tar mere chhalakte hue saaghar hain ''riyaaz''
fir bhee sab poochhate hain ''aapne pee hai ki nahee'n''


sharmaa'o ''riyaaz'' maiy-kashee se
lambee daarhee hai haath bhar kee


aab-e-zam-zam ke sivaa kuchh nahee'n kaabe mein ''riyaaz''
maiykadaa tum jise samajhe ho madeenaa hogaa


namaaz-e-eid huee maiykade mein dhoom se aaj
''riyaaz'' ! baadaakasho'n ne hamein imaam kiyaa


yah apnee vaz'a aour dushnaam-e-maiy-farosh
sunkar jo pee gaye yah mazaa muflisee kaa thaa

Asif
03-08-2007, 01:04 PM
haseenaao seh poocho ki aashiqo koh sataate kyun hain........
zamaane seh poocho ki aashiqo koh rulaate kyun hain...........
Hawaao seh poocho ki hume unse door hataate kyun hain......
Ghataao seh poocho ki hum woh aise sulaate kyun hain..........
chand seh poocho ki raat mein andhere mitaate kyun hain.......
peena kaun kambakht chaahata hain is zamaane mein............
zara is aalam seh poocho ki maikhaane banaate kyun hain......

Asif
03-08-2007, 01:06 PM
Barsa Do Saare Baadal Suraj Par,
Uski Aag Jara Bhi Kam Na Hogi
Pila Do Mehkhane Ki Saari Sharab Hum Ko,
Gam Ki Aag Jara Bhi Kam Na Hogi

Asif
03-08-2007, 01:06 PM
thukraao ab ke pyaar karo,,,, mai nashe mai hoon
jo chaahe mere yaar karo,,,,, mai nashe mai hoon

ab bhi dila raha hoon yaqeen e wafa magar
mera na aitbaar karo,,,,, mai nashe mai hoon

girne do tum mujhe mera saagar sanbhal lo
itna to mere yaar karo..... mai nashe mai hoon

Asif
03-08-2007, 01:07 PM
kuch is tarha sia pila muj ko aj aa sakee
kia yaar gham bee bahool jahoo miay

har aik ghoot pia lab pa hia naam kiu un ka?
nasha shrab ka hia yia ka yaad hia unkee?

mira lahoo mia too shamil shrab kuch hisee
kia jis tarha sia sahgar mia lahria shamial hia

hazar bar kiya hum na shrab sia tooba
har aik bar akree jam pa toota hia mira har tooba

Asif
03-08-2007, 01:07 PM
shabanam ke aa.Nsuu phuul par ye to vahii qissaa huaa
aa.Nkhe.n merii bhiigii hu_ii.n cheharaa teraa utaraa huaa

ab in dino.n merii Gazal Khushbuu kii ik tasviir hai
har lafz gu.nche kii tarah khil kar teraa cheharaa huaa

ma.ndir gaye masjid gaye piiro.n fakiiro.n se mile
ik us ko paane ke liye kya kyaa kiyaa kyaa kyaa huaa

shaayad ise bhii le gaye achchhe dino.n ke qaafile
is baaG me.n ik phuul thaa terii tarah ha.Nsataa huaa

anmol motii pyaar ke, duniyaa churaa ke le ga_ii
dil kii havelii kaa ko_ii daravaazaa thaa TuuTaa huaa

Asif
03-08-2007, 01:08 PM
bara biachan karti hia yia intazar yaaro
ka dil ka khoon peeti hia yia intazar yaaro

too jo be karna hia aaj he karlo
jo be kahna hia aaj hee kah do

na raku intizar mia aankia kooli tum
na karo intazar mia umar kahrab

Asif
03-08-2007, 01:08 PM
Muhabbat mai'n har zakhm khatey rahey hai'n
Magar phir bhi hum muskuratey rahey hai'n

Kisi morh peh hum se mil jaae'n gey woh
Tasal'li yeh dil ko dilatey rahey hai'n

Talabb terey bin kuch nahee'n hai Khuda se
Yoo'n hi haath uupar uthatey rahey hai'n

Kitaabo'n mai'n rakh'khi woh tasweer teri
Subb'h-o-shaam khud ko dikhatey rahey hai'n

Zamaney ka darr us ko Hamid nahee'n hai
Nazar peh nazar woh milatey rahey hai'n

Asif
03-08-2007, 01:08 PM
Tu sajti hai to gazab dhaati hai
Tu sanvarti hai to qayamat aati hai
Zulfon mein teri rang hai ghata ka
Mere zehen mein teri khushboo samaati hai
Maathe ki bindi lagti hai koi heera
Din chadhta hai to chamak aur bhad jaati hai
Teri palkon ka halkapan to dekho
Hawa chhukar inhe aur halki ho jaati hai
Pighalti hai nath teri garm saanson se
Tap–tap ke laal surkh ho jaati hai
Gaalon ki laali chhupaaye nahi chhupti
Kaano ki jhumki khud chumtee jaati hai
Labo ka rang lagta hai phool jaisa
Inhen dekh kar kali bhi sharmaati hai
Us saleeke se teri peraahan hai maano
Khud kudrat tujhe roz sajaati hai.

Asif
03-08-2007, 01:09 PM
Zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon
Dard ko kam kar sake wo Sharab dhoondta hoon
Waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon
Jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon...

Asif
03-08-2007, 01:09 PM
zulmat-e-shab me.n ujaalo.n kii tamannaa na karo
Khvaab dekhaa hai to ab Khvaab ko rusvaa na karo

Khvaab ummiid nashaa saa.Ns tabasuum aa.Nsuu
TuuTane vaalii kisii shay pe bharosaa na karo

ham ne aa.Nkho.n ko jalaayaa thaa ki kuchh dhundh chhaTe
tum na_ii nasl ke suuraj ho tum aisaa na karo

ashk piine kaa hunar siikh lo ham se aakar
jazbaa-e-dil ko nigaaho.n se havedaa na karo

ye maykhaana raas na aayegii tumhe.n ai "pasha"
yaad guzare hue lamhaat kii taazaa na karo.

Asif
03-08-2007, 01:10 PM
Hum Tumhain Aisi Pila daingay Tum Aao To Sahi
Hosh Ka Naam Bhula Dainge Tum Aao To Sahi

Jaam Botal Say Bharo Aur Laga Lo Munh Say
Tum Ko Peena Bhi Sekha Dain ** Tum Aao To Sahi

Ajkal Roz hai Maykhanay Main Aana Jana
Tumko Saaqi Say Mila Dainge Tum Aao To Sahi

Kiya Kaha Gham Nay Sata Rakkha Hay Tauba Tauba
Gham Ko Thori Si Pila Dainge Tum Aao To Sahi

Asif
03-08-2007, 01:10 PM
Honthon se choo lo tum mera geet amar kar do
ban jao meet mere mera geet amar kar do
naa umar ki seema ho na janam ka ho bandan
jab pyaar kare koi to dekhe keval mann
yeh reet chala kar tum yeh reet amar kar do
honthon se chool lo tum mera geet amar kar do

akash ka sunna pan mere tanah mann mein payal
chankati tum aa jao jeevan mein
sanse dekar apni sangeet aman kar do
sangeet amar kar do mera geet amar kar do

jag ne cheena mujhse mujhe jo bhi laga pyaar
sab jeet diye mujhse main har dam hi hara
tum haar ke dil apna meri jeet aman kar do
yeh jeet amar kar do mera geet amar kar do

Asif
03-08-2007, 01:11 PM
Zindagee kiya hai?
Kabhi iss haqiqat koo jaan sako ** tum?
Hai sehra ki turhan lumbi.
Ragista'n ki jaisi bunjer
Rait ki turhan sakhat naa haath mien anay wali
Suraj ki tapish jaisi
Gaar mil jaye kahien a'*** koi sahr'ab ki turhan thundi
Barish ki pehli bond jaisi shafaf
Suraj ki pehli kiran jaisi
Chand ki ****hwien raat jaisi
Lakin kiya hai yeh saab??
Apnay app ko khatum kernay kay liya kharida hoya yeh waqt
Baas kuch dair kaa dhokaa
Or phir lafani zindagee
Kiya kuch paa liya or kiya kuch kho diya
Kuch nahi jaan sakey
Akhiree waqt bas a'ik khalish kaa ahsas raha
Joo waqt guzer gaya hai
Kiya woo abb
Meri zindagee mien
Joo yaad bun ker reh chuka hai
Kiya??
Meri grif't mien aa sakta hai
Dobara…
Zindagee kaa na tamam safer
Joo shayad
Hi kabhi khatam hoo
Meri zindagee ki woo ronaqien
Shayad hi kabhi wapis aien
Baas kuch din kaa or dhoka hai
Meri zindagee kaa khail bhi
Phir khatam ho jaye gaa
Abb kiya mila
Iss zindagee kay hathoon humien
Kuch nahi kuch nahi

Asif
03-08-2007, 01:12 PM
kuch is tarha sia pila muj ko aj aa sakee
kia yaar gham bee bahool jahoo miay

har aik ghoot pia lab pa hia naam kiu un ka?
nasha shrab ka hia yia ka yaad hia unkee?

mira lahoo mia too shamil shrab kuch hisee
kia jis tarha sia sahgar mia lahria shamial hia

hazar bar kiya hum na shrab sia tooba
har aik bar akree jam pa toota hia mira har tooba

Asif
03-08-2007, 01:13 PM
Apni soi hoi dunya ko jagalon to chaloon
Apne gham khane mai ik dhoom machalon to chaloon
Aur ik jAm`mai Talkh charhalon to chalon
Abhi chalta hoon zara khud ko sambhalon to chaloon
Jane kab pi thi abhi tak hai Mai`Gham ka khumar
Dhondla dhondla nazer ata hai jahan bedar
AAndhyan chalti hain dunya hoi jati hai ghubaar
Ankh to mal *** zara hosh mai ajaon to chalon
Wo saher wo Ejaz kahan hai Lana
Meri khoi hoi awaz kahan hai lana
Mera tota hua saaz kahan hai lana
Ik zara Geet bhi is saaz pe galon to chalon
Mai thaka hara tha itne mai jo aye badal
Kisi matwale ne chupke se barhadi bottle
Uf wo rangeen porasrar khayalon k mahal
Aise do chaar mahal aur banalon to chaloon
Mughse kuch kehne ko ai hai mere dil ki jalan
kya kia maine zamane mai nahi jis ka chalan
Anso tum ne to baar bhigoya daman
Apne bheege how daman ko sokhalon to chaloon
Meri aankhon mai abhi tak hai mohabbat ka ghoror
Mere honton ko abhi tak hai sadaqat ka ghoror
Mere maathe pe abhi tak hai sharafat ka ghoror
Aise wehmon se bhi ab khud ko nikalon to chalon

Asif
03-08-2007, 01:14 PM
aankh ko jaam samajh betha tha anjane main
saaqiya hosh kahan tha tere divane main

jaan kis baat ki hai un ko shikayat mujh se
naam tak jin ka nahin hai mere afsane main

dil ke tukadon se teri yaad na gai
buu-e-mai baqi hai tootay huay pemanay main

dil-e-barbad main umeed ka aalam kia hai
timtimati hui ik shama hai viirane main

Asif
03-08-2007, 01:14 PM
Paani key ek ghoont sey
Poorey badan mein roshni hi roshni phail rahi hai
Aankhon key diye bujhney key saath saath
Mujhey woh saarey ujaley dikhayi deney lagey hain
Jinka saaya tak na kabhi naseeb ho saka

Asif
03-08-2007, 01:15 PM
"zahir Kisi Surat Bhi Kahin Naam Na Karna

Hein Log Bohat Khaas Humein Aam Na Karna

Jaanay Ki Ijazat Tu Diye Daytay Hein Lakin

Rastay Mein Aatay Hoye Kahin Shaam Na Karna

Kuch Rooz Se Ye Haal Hai Fikar Mein Tumhari

Bekaar Paray Rehna Koi Kaam Na Karna

Hum Bhi Na Dekhayein ** Sar-e-rah Garibaan

Tum Bhi Meray Wadon Ko Aam Na Karna

Is Shart Pe Hai Mujh Se Rishtay Ki Ijazat

Badnaam Zamanay Mein Mera Naam Na Karna

Badnaam Na Karna Humein Is Shehr-e-wafa Mein

Mashoor Kahin Piyar Ka Pegaam Na Karna

Asif
03-08-2007, 01:15 PM
"Tum Bin Kahi Qarar Na AaeY To MaiN Kya KaroO ..!!
Har Pal Teri Yaad SataeY To MaiN Kya KaroO ..!!

Sharab ChOOna Mere Liye HaraaM Hai ..!!
LakiN Teri Nigah Pilaye To MaiN Kya KaroO ..!!

Surat MaiN Apni BhOOl Gaya Tujh Ko Dekh Kar ..!!
Her AaineY MeiN Tu Nazar Aaye To MaiN Kya KaroO ..!!

Asif
03-08-2007, 01:15 PM
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota
Sharab kam thi to pani mila diya hota
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha
To muskura ke sar hi hila diya hota..

Asif
03-08-2007, 01:15 PM
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye


baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye


har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye


umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye


kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

Asif
03-08-2007, 01:16 PM
zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon,
dard ko kam kar sake wo sharab dhoondta hoon,
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon mein,
jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon mein

Asif
03-08-2007, 01:16 PM
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
laharo.n se khelataa huaa laharaa ke pii gayaa


bekaifiyo.n ke kaif se ghabaraa ke pii gayaa
taubaa ko to.D taa.D ke tharraa ke pii gayaa


[bekaifii=unintoxicating (unpleasant); kaif=intoxication]


zaahid ye merii shoKhii-e-ri.ndaanaa dekhanaa
rahamat ko baato.n baato.n me.n bahalaa ke pii gayaa

Asif
03-08-2007, 01:17 PM
saaqii par ilzaam na aaye
chaahe tujh tak jaam na aaye

tere sivaa jo kii ho muhabbat
merii javaanii kaam na aaye

jin ke liye mar bhii gaye ham
vo chal kar do gaam na aaye

ishq kaa saudaa itanaa garaa.N hai
i.nhe.n ham se kaam na aaye

Asif
03-08-2007, 01:17 PM
saaqii terii mahafil me.n ham jaam uchhaale.nge
jab kaabe me.n jaaye.nge zam_zam se nahaa le.nge

ham dast_navardii kaa kuchh aur mazaa le.nge
manzil pe bhii talvo.n ke kaa.NTe na nikaale.nge

ham gulshan-e-fitarat se jiine kii adaa le.nge
shaaKho.n se lachak le.nge kaa.NTo.n se anaa le.nge

Asif
03-08-2007, 01:17 PM
saaqiiyaa chho.D na khaalii mere paimaane ko
itanii hii de de ke ho jaaaye qasam khaane ko

saaqii ye ahad-e-shikan is me.n biga.Danaa kaisaa
ko_ii paimaan ko to.De ko_ii paimaane ko

kuchh to ho jaatii hai kam sifat-e-taubaa_shikanii
pii ke ham to.D diyaa karate hai.n paimaane ko

jitane muu.Nh utanii hii baate.n hai.n ba.De kyuu.N na junuu.N
sab ne diivaanaa banaa rakhaa hai diivaane ko

Asif
03-08-2007, 01:17 PM
Har Iek Zakhm ka Chehra Gulab Jaisa hai
Lekin yeh Manzar bhi Ab Khwab jaisa hai

Yeh Talkh talkh sa lehja yeh taiz taiz si bat
Mizaj e Yar ka Alam bhi sharab jaisa Hai

Yeri nazar hi Nahi Hurf e Ashna werna
Har iek Chehra yahan per kitab jaisa hai

Chamak uthey tu samander bujhey tu rait ki lehar..
Merey Khayal ka dariyaa saraab jaisa hai

terey Qareeb rehkar bhi na pasakon tujhko..
Terey Khayal ka jalwa bhi Hijab jaisa hai

Asif
03-08-2007, 01:18 PM
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii

[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii

[muattar=full of itr]

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii

Asif
03-08-2007, 01:18 PM
saaqiyaa teraa isaraar apanii jagah
tere maikash kaa inkaar apanii jagah

teG apanii jagah daar apanii jagah
aur haqiiqat kaa izhaar apanii jagah

ab kha.nDahar hai kha.nDar hii kaho dosto
shiish mahalo.n ke aasaar apanii jagah

tuur par laakh muusaa se ho guftaaguu
arsh-e-aazam pe diidaar apanii jagah

avvalan haq ne taKhliiq jis ko kiyaa
sab ke baad us kaa izhaar apanii jagah

muKhtasar ye bataa sar baa-kaf kaun thaa
jiit apanii jagah haar apanii jagah

bhaa_ii se bhaa_ii ke kuchh taqaaze bhii hai.n
sahan kii biich kii diivaar apanii jagah

Asif
03-08-2007, 01:18 PM
may pilaakar aapakaa kyaa jaayegaa
jaayegaa iimaan jisakaa jaayegaa


dekhakar mujhako vo sharmaa jaayegaa
ye tamaashaa kisase dekhaa jaayegaa


jaauu.N butaKhaane se kyuu.N kaabe ko mai.n
haath se ye bhii Thikaanaa jaayegaa


qatl kii jab usane dii dhamakii mujhe
kah diyaa mai.n ne bhii dekhaa jaayegaa


pii bhii le do ghuu.NT zaahid pii bhii le
maikade se kaun pyaasaa jaayegaa

Asif
03-08-2007, 01:19 PM
may rahe miinaa rahe gardish me.n paimaanaa rahe
mere saaqii tuu rahe aabaad mayaKhaanaa rahe


hashr bhii to ho chukaa ruKh se nahii.n haTatii naqaab
had bhii aaKhir kuchh hai kab tak ko_ii diivaanaa rahe


raat ko jaa baiThate hai.n roz ham majanuu.N ke paas
pahale to anaban rah chukii hai ab to yaaraanaa rahe


zindagii kaa lutf ho u.Datii rahe haradam 'Riaz'
ham ho.n shiishe kii parii ho ghar pariiKhaanaa rahe

Asif
03-08-2007, 01:20 PM
yeh apni hasti hai jisne machai hai hulchul
nasha sharab main hota to nachti botal!!!

Asif
03-08-2007, 01:20 PM
Ki mohabbat to siyasat ka chalun chorr deeya,
Hum agar Sharaab na peetey to hukumat kartey.

Asif
03-08-2007, 01:21 PM
saaqii par ilzaam na aaye
chaahe tujh tak jaam na aaye

tere sivaa jo kii ho muhabbat
merii javaanii kaam na aaye

jin ke liye mar bhii gaye ham
vo chal kar do gaam na aaye

ishq kaa saudaa itanaa garaaN hai
inhen ham se kaam na aaye

Asif
03-08-2007, 01:21 PM
dhaal gaya aftaab aye saaqi
la pila da sharaab aye saaqi
ya suraahi laghaa marey mooh say
ya ulat day nakaab aye saaqi
mekada choor kar kahan jaein
hai zamana harab aye saaqi
jaam bar day gunahgaroon kay
yeh bhi hai ik suwaab aye saaqi
aaj penay day aur penay day
kal karein gein hasab aye saaqi

noor
03-08-2007, 01:23 PM
booott hi nice Aps jii ye saab hi ki saab...A1......:thumbsup1[1]:
wwoww u have veerry Great materail....wwoww nice collection......kahaan see chooorri ki hai..........:fest20[1]:
advance mai 13000 ki congratzz Aps jii.....:1094:[1]

Asif
03-08-2007, 01:23 PM
vo behisaab jo pii ke kal sharaab aayaa
agarche mast thaa main par mujhe hijaab aayaa

idhar Khayaal mere dil main zulf kaa guzaraa
udhar vo khaataa huaa dil main pech-o-taab aayaa

Khayaal kis kaa samaayaa hai diidaa-o-dil main
na dil ko chain mujhe aur na shab ko Khvaab aayaa

Asif
03-08-2007, 01:24 PM
Khyaal aieyaa ki muhabbat ka izhaar kartaa jaan-oon,
Tanhaa-ee aur ruswaa-ee ka takraar karataa jaan-oon.

Tu bageechey mey beyhtee nadiaa ki tarheyn tehal rahee thee,
Naheen maloom kin huseen khyaalon sey behal rahee thee.

Khyaalon mey itnee masroof thee ki mujhey deykhaa hi naheen,
Shaiyd teyree nazarey anaaiyat ki merey haath mey reykhaa hi naheen.

Mayoos huaa aur chal deeya, lekin phir sey laut aiyaa,
Meri badnaseebee ki terey jaaney key bahd khyaal aiyaa.

Itna sitam mutt dhahow, ki akeyley mey dumm nikal jaaey,
Khwaabey khyaalaat mey rehtaa hoon thorra sukan tow mil jaaey.

Kiyoon aaj dil ki baat merey dil mey yuoon hee reh gayee,
Kiyoon merey dil mey tujh sey milney ki tammuna reh gayee.

kitney huseen khwaab aksar aa kar toot jaatey hain,
Jessey tufaanee hwaa key teyz jhonkon sey pattey bikhar jaatey hain

Asif
03-08-2007, 01:24 PM
sakhi Itna Sa Kam Kar
Tere Sare Ilzaam Mere Naam Kar
Ek Do Paimaon Se Kya Hoga
Ye Sara Maikhana Mere Naam Kar !!!

Asif
03-08-2007, 01:25 PM
Nashtar hai merey hath mein... kandhon pey me'kada....
lo mein ilaaj-e-dard-e-jigar lekey agaya

Asif
03-08-2007, 01:25 PM
Saqi Sharab peenay dain Majzeed main Bethker
Ya Aysi jaga Bata Dain Jaha per khuda nahi

Asif
03-08-2007, 01:25 PM
Table Daroo Se Saja Rakhi Hai
Har Rang Ki Daroo Manga Rakhi Hai
Jane Kis Gali Se Aa Jaye Mera Dost
Har Gali Daroo Se Dhula Rakhi Hai

Asif
03-08-2007, 01:26 PM
Kitni P kaisai kati raat mujhe yaad nahi
Raat k saath gai baat mujhe yaad nahi

Mujh ko yeh bhi nahi maloom k jana hai kahan
tham lai koi mera haath mujhe yaad nahi

Koi Paimana kahain toota k DIL hai mera
Badle badle hain khayalat mujhe yaad nahi

Ansoon aur sharaboon mein kati hain apni
main nai kab daikhi thi barsat mujhe yaad nahi

Asif
03-08-2007, 01:26 PM
subah ro ro ke shaam hotii hai
shab ta.Dap kar tamaam hotii hai

saamane chashm-e-mast ke saaqii
kis ko parvaah-e-jaam hotii hai

ko_ii Gunchaa khilaa ke bul-bul ko
bekalii zar-e-daam hotii hai

ham jo kahate hai.n kuchh ishaaro.n se
ye Khataa laa-kalaam hotii hai

Asif
03-08-2007, 01:27 PM
" Baat May Ki Chali Hai Doston ....
May Khaney Ki Mast Kuchon Mein ,
Raat Ladkhda Ke Chali Hai Doston ....
Sahar Ke Pahlu Mein May Chune Ko .......

" Gar Pilana Hi Hai To Apni Aankho Se Pila ....
Gale Se May Utarti Nahi To Mai Kya Karoon ?

" Gar Kasoor Is Gale Ka Hai...to Ghot De Ise....
Jaan Apne Haathon Se Nikalti Nahi To Mai Kya Karoon?

" Maine May Pi Ho Or Kanhi Yaad Aati Nahi .....
Teri Aankhon Ki Saaki Najron Se Utar Paati Nahi...."

" Bas Isi Tarah Pilaye Jaaa Mujhe Aankhon Se ....
Vaiz Aayega Kitab Liye To Main May Utha Lunga ...."

" Phir Dekhte Hain Bark Kis Taraf Girti Hai ?
Vaiz Ke Kitab Par Ya Mere May Ki Madhosi Par?

Asif
03-08-2007, 01:27 PM
may pilaakar aapakaa kyaa jaayegaa
jaayegaa iimaan jisakaa jaayegaa


dekhakar mujhako vo sharmaa jaayegaa
ye tamaashaa kisase dekhaa jaayegaa


jaauu.N butaKhaane se kyuu.N kaabe ko mai.n
haath se ye bhii Thikaanaa jaayegaa


qatl kii jab usane dii dhamakii mujhe
kah diyaa mai.n ne bhii dekhaa jaayegaa


pii bhii le do ghuu.NT zaahid pii bhii le
maikade se kaun pyaasaa jaayegaa

Asif
03-08-2007, 01:28 PM
yaaro mujhe mu'aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

jo kucch hi kah rahaa huu.N nasha bolata hai ye
is kaa na kucch Khayaal karo mai.n nashe me.n huu.N

us maikade kii raah me gir jauu.N na kahii.n
ab meraa haath thaam to lo mai.n nashe me.n huu.N

mujhako to apane ghar kaa pataa yaad hii nahii.n
tum mere aas paas raho mai.n nashe me.n huu.N

kaisii guzar rahii hai muhabbat me.n zi.ndagii
"Hasrat" kuchh apana haal kaho mai.n nashe me.n huu.N

Asif
03-08-2007, 01:28 PM
saaqii par ilzaam na aaye
chaahe tujh tak jaam na aaye

tere sivaa jo kii ho muhabbat
merii javaanii kaam na aaye

jin ke liye mar bhii gaye ham
vo chal kar do gaam na aaye

ishq kaa saudaa itanaa garaa.N hai
i.nhe.n ham se kaam na aaye

[garaa.N=difficult]

maiKhaane me.n sab hii to aaye
lekin "Jigar" kaa naam na aaye

Asif
03-08-2007, 01:28 PM
saaqii terii mahafil me.n ham jaam uchhaale.nge
jab kaabe me.n jaaye.nge zam_zam se nahaa le.nge

ham dast_navardii kaa kuchh aur mazaa le.nge
manzil pe bhii talvo.n ke kaa.NTe na nikaale.nge

ham gulshan-e-fitarat se jiine kii adaa le.nge
shaaKho.n se lachak le.nge kaa.NTo.n se anaa le.nge
_________________

Asif
03-08-2007, 01:29 PM
Jindagi ka Lutf hai Mit Jaane mein
Paane mei kaha.......
Mazaa to hai loot jaane mein
Mai Sharabi hoon......
Mera pyar hai maikhane mein
Mazaa peene mei nahi....
peeke hai behak jaane mein

Asif
03-08-2007, 01:29 PM
na mere lutf pe hairan na apni uljhan par
mujhe yeh shakhs to har shakhs se juda hi laga!

Asif
03-08-2007, 01:30 PM
ham aah bhi karte hain to hojate hain badnaam
woh katal bhi karte hai to charcha nahi hota!!!

Asif
03-08-2007, 01:30 PM
To kisne kaha hai aapko aah karne ke liye
Aur bhi bahut kuch hai jamane mein karne ke liye

Asif
03-08-2007, 01:38 PM
Mudad ke baad aaj phir se humne sharab ki bottle ko haath lagaya hai,
Dil ko haqiqat se door ek naya sapna dikhaya hai,

Nashe me kitni rangeen ban gayi hai zindagi humari,
Jab udasi ke payale me sharab ki do bondon ko milaya hai,

Ankhon ki nami sukh kar aa gayi muskurahat chehere pe,
Yuh laga jaise sharab ne gum ko behene ka ek naya rasta batlaya hai,

Apno ne diya hume gumon ke sholey yaha,
Ek sharab hi apni nikli, jisne is aag ko bujaya hai,

Jane kyu log kehte hai sharab buri cheez hai, mat piyo,
Jab ke issi ke sahare ne hume gum-e-zindagi bhulaya hai!